Thursday 25 April 2013

Apna Hissa shumar karta tha

Apna Hissa shumar karta tha
Wo Mujhse itna pyaar karta tha,

Wo Banata tha Meri Tasveerain
Phir un se Baatein Hazaar karta tha,

Mera Dukh B khaloos-e-Neeyyat se
Apne Dukhon mei Shumaar karta tha,

Such Samajhta tha Jhoot B mera,
Yun Woh Mera Aitbaar Karta tha,

Jab B Roti thi Main Raat ki Tanhaiyon mei
Wo apne Honto se mere ChehrE ko Saaf karta tha,

Aaj Sochti hoon to Aankhein beegh jati hain
Wo Shakhs Mujhse kitna Pyaar karta tha..

Hamein to ab bhi woh guzra zamana yaad aata hai

Hamein to ab bhi woh guzra zamana yaad aata hai
tumhe bhi kya kabi koi dewana yaad aata hai…

hawaein tej thi, baarish bhi thi, tufan bhi tha lekin
tera aise main bhi waada nibhana yaad aata hai

guzar chuki thi bahut raat baaton-baaton main
fir uth k woh tera shama bujhana yaad aata hai

ghatayein kitni hi dekhi hain par mujhe
kisi ka rukh pe woh zulfein girana yaad ata hai.

Tum mere dil mein samao to koi baat bane

Tum mere dil mein samao to koi baat bane
phir kabhi door najao to koi baat bane

pyaar kehne sey to baat nahe banti
pyaar bana k dekhao to koi baat bane

hum to chup chaap se rehtey hain magar
tum kabhi aa k hansao to koi baat bane

sath deney ki to sab baat kiya karte hain
tum agar saath nibhao to koi baat bane

rutho sou baar hum ko shikayat na hogi
rooth k maan bhi jao to koi baat bane

yeh ankhen har dam udaas raha karti hain
in main koi khuwab sajao to koi baat bane.

Wednesday 24 April 2013

Koi waqat purana yaad aya koi door suhana yaad aya

Koi waqat purana yaad aya, koi door suhana yaad aya
Wo chaak say in dewaron par, kuch likh kar jana yaad aya

Tere milna neem ki chaoon mein, aur sar rakh dena kandhay par
Mera yeh kehna koi dekh na lay, tere wo ghabrana yaad aya

Kabi aisay b to hota tha, mai tum say milnay jata tha
Jab wapis anay lagta tha, tera hath hillana yaad aya

Wo waqt gaya lamhay beetay, ab har janib tanhai hay
Wo ek hay manzar ankhon mai, tera choor k jana yaad aya

Teri baahon ki tapish main pighalne laga hon

Teri baahon ki tapish main pighalne laga hon
Teri sanson ki mehek main sulagne laga hon,

Raat ki tanhaai main lipti khumaar ki baatein
Tere baaton ki kashish main machalne laga hon,

Sulagti raat ki bikharti chandni main hum-tum
Behekne lage jazbaat aur bhadakne laga hon,

Ruan-ruan tere pyaar main sarabor hone laga
Tere baahon ke gheron main dhadakne laga hon ,

Tere sath bitaai lamhon ki kasak seene main
Zindagi jeene ki aarzoo main tadapne laga hon.

Monday 22 April 2013

Chal Chlte Hain Us Paar Sanam

Chal Chlte Hain Us Paar Sanam
Jaha Lehron ki Khmoshi Ho

Jahan Sanson Ki Madhoshi Ho
Jahan Jzbon Ki Behoshi Ho

Jahan Ankhon Se Srgoshi Ho
Chal Chlte Hain Us Paar Sanam

Ik Nai Aas Lganay Ko
Ik Dil Ki Aag bujhane Ko

Ik Doje Me Kho Jane Ko
Ik Pal K Naam Ho jane ko

Chal Chlte Hain Us Paar SaNam
Jahan Aasan Sari Rahain Hon

Jahan Ik Doje ki Bahain Hon
Jahan LabPe Sard Si Aahain Ho

Jahan pyar Ki kuch Pnahain Ho
Chal Chlte Hain Us paar Sanam.

Na dekha karo tum humein teerchhi nazaron se is tarah

Na dekha karo tum humein, teerchhi nazaron se is tarah
ke jaan jaati hai jism se, neend aankhon se jis tarah

Aaankhein hai ye tumhari, ya shab e maikhana
main hosh jo kho doon, mujhe hosh mein na lana

Dekha jo tumne pyar se, wafa ka izhaar hua
paya jo tumhein zindgi mein, mohabbat ka ikraar hua

Khoya jo tumhein, ik aah nikli is dil se
dil ko jala gayi, ik bijli is dil se

Ab na aao khwaabon mein tum, kahin neend se na jagoon
main zinda hi kab tha, kahin maut se na jagoon.....! !


Us ka tu her andaaz nirala sa lagay hai

Us ka tu her andaaz nirala sa lagay hai
Qatil hai mera aur masiha sa lagay hai

Wo jis se koi khas taaruf bhi nahi hai
jub bhi nazer aajaye hai apna sa lagay hai

hum us ke bina jaise mukammal hee nahi ?
jo kaam bhi kertay hain adhura sa lagay hai

mein us ki her aik baat ko kis terha na manoo
wo jhoot bhi bolay hai tow sachcha sa lagay hai

aik umr hui tootay huay dil ko hamare
ye zakhm mager aaj bhi kal ka sa lagay hai

itni si khata per keh tera naam liya tha
her shaks mere khoon ka piyasa sa lagay hai

Friday 19 April 2013

Kaisay kahoon k apna bana lou mujhey

Kaisay kahoon k apna bana lou mujhey
bahoun mein apni sama lou mujhey

Bin tumharey aik pal bhi ab kat-ta nahin
Tum aa ker mujhi say chura lou mujhey

Zindagi tou woh hai sang tumharey jo guzrey
Dunya kay gamoun say ab chura lou mujhey

Meri sab say gehri khuwahish hou puri
Tum agar pass apnay bula lou mujhey

Yeh kaisa nasha hai jou behka raha hai
Tumhara hoon mein tou sambhalo mujhey

Najanay phir kaisay guzrey gi zindagani
Agar apnay dil say kabhi tum nikalo mujhey

Bahaon main teri ajj bikhar janay do

Bahaon main teri ajj bikhar janay do
Mehki saanso main mujhe utar janay do

Raat tanha or sard mosam hai
ajj apni saanson main mehak janay do

Shoq nazrOn ko sharam aati hai
Thartharatay lab ko lab se sil janay do

Bikhra huye gaisuu bikhra hua kajal hai
Ajj rooh ko rooh main samaa janay do

Raat thori aarman dil main baqi hain
Ajj bahOn main hi teri rat ko kat janay do..

Din raat sulgnay lgty hain jab yaad tumhari aati hai

Din raat sulgnay lgty hain jab yaad tumhari aati hai,

Hum toot k bikharny lgty hain jab yaad tumhari aati hai,

Kuch apni tum ko batlain kiya haal humara hota hai,

Hum tanha rony lgty hain jab yaad tumhari aati hai,

Ye sansain bhi tham jati hain ye dharkan bhi ruk jati hai,

Hum jeeny mrnay lgty hain jab yaad tumhari ati hai

Jab hum tumhain bhool jatay hain tu khud ko murda paty hain,

Hum phir say jeeny lgty hain jab yad tumhari ati hay.

Thursday 18 April 2013

Ek bhegi hui si raat mile

Ek bhegi hui si raat mile
us raat me tera hath mile

tere lab se tapken jo bonden
unhe mere labon ka sath mile

kuch tum bi behke behke se
kuch mujh pe nasha sa tari ho

har pal me chaye madhoshi
Ek aisi raat hamari ho

phir tum aao meri bahon me
main pyar karon tumhe ji bhar ke

tum mujhse thora sharma jao
sharma k galay se lag jao

main jitna tumko pyar karon
tum itne hi betab ho jao

hamein pyar k kuch lamhat milen
Ek bhegi hui si raat mile….!

APNA DIL PESH KAROON APNI WAFA PESH KAROON

APNA DIL PESH KAROON APNI WAFA PESH KAROON,
KUCH SAMAJH ME NAHI ATA TUJHE KYA PESH KAROON,

TERE MILNE KI KHUSHI ME KOI NAGMA CHEROON,
YA TERE DARD KI JUDAAI KA GILA PESH KAROON,

MERE KHABON ME BHI TU MERE KHYALON ME BHI TU,
KONSI CHEZ TUJHE TUJHSE JUDA PESH KAROON,

JO TERE DIL KO LUBHA LE WO ADA MUJHME NAHI,
KYON NA TUJHKO KOI TERI HI ADA PESH KAROON

PALKEN ZARA UTHA KAR EK BAAR DEKHIYE

PALKEN ZARA UTHA KAR EK BAAR DEKHIYE,
THODA SA MUSKURA KAR EK BAAR DEKHIYE,

AE MAAH TAAB-E-HUSN ANDHERA HAI CHAR SOO,
RUKH SE NAKAAB UTHA KAR EK BAAR DEKHIYE,

CHUPNE LAGA HAI CHAAND GHATAAO KI OAT ME,
ZULFEN ZARA HATA KAR EK BAAR DEKHIYE,

BAJNE LAGENGE JALTARANG ES KAAENAAT ME,
KOI GEET GUNGUNA KAR EK BAAR DEKHIYE,

DE DENGE JAAN AAPK KADMO ME HUM HUZOOR,
SHAM-E-WAFA JALAKAR EK BAR DEKHIYE,

MERI TARHA AAP BHI TARSENGE NEEND KO,
YE DIL KAHIN LAGA KAR EK BAAR DEKHIYE,

KYON DAR BADAR HAI AAP WAFA KI TALASH ME,
APNA HAME BANA KAR EK BAAR DEKHIYE,

ES PUR FAREB DOUR KA SHIKWA BAJA MAGAR,
KABEER KO AAZMA KAR EK BAAR DEKHIYE.

Wednesday 17 April 2013

Terey paas aane ko jee chahata hai

Terey paas aane ko jee chahata hai
naye zakhm khane ko jee chahata hai

zamana mera aazmaya huwa hai
tujhey aazmane ko jee chahata hai

wahi baat reh reh k yaad aa rahi hai
jisey bhool jane ko jee chahata hai

labo`n par merey khailtey hain tabassum
jab aansoo bahane ko jee chahata hai

takalluf na kar aaj barq e tajalli
nasheman jalaney ko jee chahata hai

rukhey zindagi se naqabain ulat karr
haqiqat dikhane ko jee chahata hai

Mohabbat tumse hai yeh maanti hoon mein

Mohabbat tumse hai yeh maanti hoon mein

chahat bus tumhari hai yeh janti hoon mein

Aao apni zaat ke us pehlu se milaaaon tumhe

mein kya hoon aur kon hoon yeh bataaon tumhe

Mein apni maan ki tarbiyat mein dhala ik sancha hoon

apne baba ki umeedon se pur aik khaka hoon mein

Apne bhai ki ghairat hoon yeh jaanti hoon mein

is ghar ki izat hoon yeh maanti hoon mein

To phir behek jaaon phir mein yeh mumkin hi nahin

rishte aur bhi to hain sirf tum hi to nahin

Mohbabbat unhe bhi hai sirf tum ko to nahin

Jaltay Honton py Tabassum jo Machalta ha khbi

Jaltay Honton py Tabassum jo Machalta ha khbi ...
Zakhm Dhoul jatay hain Saawan jo Barasta ha khbi ...

Maine Sochon men Tarashay hain Khad_o_Khaal Tere ...
Mere Baray men Bata Tu ne b Socha ha khbi ...

Charhtay Suraj se khbi Tu ne Milai ha Nazar ...
Tu ne Kirno ki Taraf Ghour se dekha ha khbi ...

Log Pather men Khilatay hain Umeedon k Gulab ...
Yun b Mumkin ha bata Iesa b hota ha khbi ...

Tu ne Samjha tha k Main Lout k Ah jaon ga ...
Ankh se Bichra howa Ashk b Louta ha khbi ...

Tuesday 16 April 2013

Uss k honton ka tabassum rahay qayaim "YA RUB"

Uss k honton ka tabassum rahay qayaim "YA RUB"
Uss k jeevan main khushiyon ka basaira ker day...

Tu meri "KARB" ki raaton ko bhalay khatam na ker,
Uss ke her shaam k aakhir mai "SAWAIRA" ker day.

Uss k "DIL" k kisi konay main jaga day mujh ko...
Uss ki "AANKHON" ko meray sapnon say khaira ker day

Yeh meray dil ki dua hay "MERA MOLA SUN LAY"...
Saaaari duniya say chupa ker "USSAY MERA KER DAY

Doob Jata Hun Unki Aankhon Mein

Doob Jata Hun Unki Aankhon Mein
Gahri Jheel Hain Unki Aankhein

Bah Jata Hun Unki Aankhon Mein
Bahti Nadiya Hain Unki Aankhein

Kho Jata Hun Unki Aankhon Mein
Atha Sagar Hain Unki Aankhein

Jal Jata Hun Unki Aankhon Mein
Jwala Mukhi Hain Unki Aankhein

Bheeg Jata Hun Unki Aankhon Mein
Kali Ghata Hain Unki Aankhein

Kya Se Kya Ho Jata Hun Unki Aankhon Mein
Kaisi Aur Kya Balaa Hain Unki Aankhein..

Monday 15 April 2013

Main usay kaisay akela chor dun is raah main

Main usay kaisay akela chor dun is raah main
sath jo chalta raha majburuyn kay baad bhi

Ban kay khushbo rach gya hai yun meray ehsas main
Door ho paaya nahi wo dooryun kay baad bhi

Rafta rafta usko bhi dunya raas aai gai
Muskara kay wo mila hai ranjishon kay baad bhi

Faslay kab kum huay hain raabton kay baad bhi
Ajnabi thay ajnabi hain itni gehri Dosti kay baad bhi.

Kaash Mein Tere Haseen Haath Ka Kangan Hota

Kaash Mein Tere Haseen Haath Ka Kangan Hota
Tu Bade Payar Say Chao Say Bade Maan K Saath

Apni Nazuk Si Kalayi Mein Chadhati Mujh Ko
Aur Bay Taabi Say Furqat K Khizan Lamho Mein

Tu Kisi Soch Mei Doobi Jo Ghumaati Mujh Ko
Mein Tere Hath Ki Khushboo Say Mehak Jata

Jab Kabhi Mood Mein Aa Kar Mujhay Chooma Karti
Tere Honton Ki Hidat Say Dahak Sa Jaata

Raat Ko Jab Bhi Tu Neendon Kay Safar Pay Jaati
Mar Mareein Haath Ka Takiya Banaya Karti

Mein Tere Kaan Say Lag Kar Kayi Baatein Karta
Teri Zulfon Tere Gaal Ko Chooma Karta

Mujh Ko Bay Taab Sa Rakhta Teri Chahat Ka Nasha
Mein Teri Rooh K Gulshan Mein Mehak Ta Rehta

Mein Tere Jism K Aangan Mein Khanakta Rehta
Kuch Nahi To Ye Bay Naam Sa Bandhan Hota

Kaash Mein Tere Haseen Haath Ka Kangan Hota

Jamaal-e-Yaar Ko Dekhoon, Kamaal-e-Yaar Sey Pheley

Jamaal-e-Yaar Ko Dekhoon, Kamaal-e-Yaar Sey Pheley
Mai Khushbu Ki Terhan Mehku, Khyal-e-Yaar Sey Pheley

Karishmay Hussn K Sura,Sitary,Phool Zaahir Hain
Magar Mai Kis Taraf Dekhoon, Misaal-e-Yaar Sey Pheley

Duaon Mai Meri Yun Tou Bohat Taseer Hai Lekin
Mai KHUDA Se Aur Kya Maangoon, Sawal-e-Yaar Sey Pheley

Hai Adat Door Rehney Ki Agar Woh Samney Aaye
Mai Shaam-e-Zindagi Chahoon, Visaal-e-Yaar Sey Pheley

Subhi Mausam Khushyon K Jahan Uska Basera Ho
Zamaney Ko Badal Daalon, Zawaal-e-Yaar Sey Pheley..

Baat Niklay Gi To Phir Door Talak Jaye Gi

Baat Niklay Gi To Phir Door Talak Jaye Gi
Loug Be Waja Oodaasi Ka Sabab Poochhain Gay

Ungliyaan Oothain Gi Sookhay Hooway Baaloun Ki Tarf
Ik Nazar Dekhain Gay Guzray Hooway Saaloun Ki Tarf

Chooriyoun Par B Kayi Tanz Kiyay Jayein Gay
Kaanp`tay Haathoun Par B Fiqray Kasay Jayein Gay

Loug Zalim Hein Har Ik Baat Ka Taana Dein Gay
Baatoun Baatoun Mien Mera Bhi Zikar Lay Aayein Gay

In Ki Batoun Ka Zara Bhi Asar Mat Laina
Warna Chehray Taas`sur Se Samjh Jayein Gay

Chahay Kuch Bhi Ho Swalaat Na Karna Oon se
Meray Baray Mein Baat Koi Na Karna Oon Se
 

Sunday 14 April 2013

Tumhari thi shararat mehndi say hatheli pay naam likhna


Tumhari thi shararat mehndi say hatheli pay naam likhna 

Aur mujhe ruswa kar dya tum nay yunhi kheltay kheltay.

Kya Mila Tumhe Socho, Humko Azmaane Mein

Kya Mila Tumhe Socho, Humko Azmaane Mein
Aag Lag Gayi Aakhir, Har Taraf Zamane Mein

Tum To Chaar Din Mein Hi Apna Honsla Kho Bethe
Umar Beet Jati Hai, Ruthne-Manane Mein

Tumne Sab Luta diye Ashq Meri Palko Ke
Ik Zamaana Lagta Hai, Aainey Sajaane Mein

Aaj hai Sabhi Masroof, Farak Sirf Itna Hai
Koi Ghar Banane Mein, To Koi Ghar Jalane Mein

Aaj Dil Hai Diwana, Uska Rukh Na Pehchana
Saazishen Bhi Shamil Hain Jiske Muskurane Mein

Huee hai shaam to aankhon mein bas gaya phir tu

Huee hai shaam to aankhon mein bas gaya phir tu
kahaan gaya hai mere shaher ke musafir tu

meri misaal ki ek nasl-e-khusk-e-sehra hoon
tera khayaal ki shaakh-e-chaman ka taayar tu

main jaanta hoon ki duniya tujhe badal degi
main maanta nahi ke aisa nahi bazaahir tu

hansi-khushi se bichhad ja agar bichhadna hai
ye har maqaam pe kya sochta hai aakhir tu

fiza udaas hai rut muzmahil hai main chhup hoon
jo ho sake to chala aa kisi ki khaatir tu

tune usse mushkilo`n mein daal diya
zamaana saahib-e-zarr aur sirf shaayar tu.

Raat kat`ti rahi chand dhalta raha

Raat kat`ti rahi chand dhalta raha
Aatish-e-hijer main koii jalta raha

Ghar ki tanhaiyan dil ko dasti rahin
Koi baichain karrwatt badalta raha

Aas-o-umeed ki shama roshan rahi
Ghar kee dehleez ko koi takta raha

Rat bhar chandni gungunati rahi
Rat bhar koi tanha sisakta raha

Ashk palkon pe aa kar bikhrtay rahe
Nam lab pay kisi kaa larazta raha

Aaj phir raat kaali guzar hi gaye
Aaj phir koi khud se ulajhta raha

Bas itni si inaayat mujh pe aik baar kijiye

Bas itni si inaayat mujh pe aik baar kijiye
kabhi aa ke mere zakhmon ka dedaar kijiye

Ho jaaiye begaane aap shauq se sanam
aapka hun aapkA rahungA aitbaar kijiye

Parrhne waale hi darr jaayen dekh kar ise
kitaab-e-dil ko itnaa na daagdaar kijiye

Na majboor kijiye, ke main unko bhool jaaun
mujhe meri wafaaon ka na gunehgaar kijiye

In jalte diyon ko dekh kar na muskuraaiye
zara hawaaon ke chalne ka intezaar kijiye

Karna hai ishq aapse karte rahenge hum
jo bhi karna hai aapko mere sarkaar,kijiye

Phir sapno ka ashiyaan bana liya hai maine
phir aandhiyon ko aap khabardaar kijiye

Hame na dikhaiye ye daulate ye shohrate
hum pyaar ke bhookhe hain hame pyaar kijiye

Saturday 13 April 2013

Yaar jo bhi mila dil jala kar gaya

Yaar jo bhi mila dil jala kar gaya
Khaak mein meri hasti mila kar gaya

Pyaas jiski sada mein bhujata raha
Zaher-e-Qatil mujhe woh pila kar gaya

Naaz uski wafa par mujhe tha magar
Teer woh bhi jigar par chala kar gaya

Dhoondta tha kabhi jo mujhe har gali
Aankh woh aaj mujhse bacha kar gaya

Maanta tha sahara jo hardam mujhe
Besahara mujhe woh bana kar gaya

Neend aagosh mein jiski aane lagi
Maut ki neend mujh ko sula kar gaya

Aarzoo thi Yaar jiski mujhe
khaak mein mujhe mila kar gaya

Samay-samay ki khalish mein tera malal rahe

Samay-samay ki khalish mein tera malal rahe
judaaiyo`n mein bhi yoon aalam-e-visaal rahe

ana ki jang mein hum jeet to gaye lekin
phir us ke baad bahut der tak nidhaal rahe

raah-e junoon mein yahi zaad-e-raah hota hai
ke justuju badhe deewangi bahaal rahe

haseen raatein bhi mehkien tumhari yaadon se
kare dino`n mein bhi pal-pal tera khayaal rahe

tu ek baar zara kishtiyaan jala to sahi
hai kya majaal ke ek lamha bhi zawaal rahe

Dil ki Baatein Bata Deti Hai Aankhein

Dil ki Baatein Bata Deti Hai Aankhein
Dhadkano Ko Jaga Deti Hai Aankhein

Dil Pe Chalta Nahi Jaadu Chehron Ka Kabhi
Dil Ko To Deewana Bana Deti Hai Aankhein

Wo Humse Baat Nahi Karte, To Na Kare
Haaal Saara Unke Dilka Suna Deti Hai Aankhein

Gham Sada Rehta Hai, Aadmi Ke Sath
Ashq Bankar Chhalka Deti Hai Aankhein

Aata Hai Jab Daur-E-Jawan, To Aye Doston
Sundar Sapne Zehen Mein Basa Deti Hai Aankhein

Maana Ke Neend Aati Hai, Aankhon Hi Ke Raaste
Magar Kabhi Kabar Neend Uda Deti Hai Aankhein

Aisa Shukar Hai Khuda Ne Ata Ki Aankhon Ki Nemat Hamein
Dard-O-Gham Saare Dil Ke Chhupa Deti Hai Aankhein

Friday 12 April 2013

Dil to karta hai zindagi ko kisi qaatil k hawalay kar doon

Dil to karta hai zindagi ko kisi qaatil k hawalay kar doon 
"SAAHIL"
Judai mein ye roz roz ka marna mujhay acha nahi lagta.

Agar saza dey hi chukay ho tu haal na pochna

Agar saza dey hi chukay ho tu haal na pochna,

Hum agar begunah niklay tu tumhein afsos hoga.

Tarpta hon nend k leye tu bas yehi dua nikalti hai

Tarpta hon nend k leye tu bas yehi dua nikalti hai,

Bohat bori chez hai ye muhabat kisi dushman ko bhi na ho.

Pyaas wo dil ki bujhaane kabhi aaya b nahi

Pyaas wo dil ki bujhaane kabhi aaya b nahi
Kaisa badal hai jiska koi saaya b nahi

Berukhi is se bari aur bhala kya hogi
Ek muddat se hamein us ne sataya b nahi

Roz ata hai dar-e-dil pe wo dastak dene
Aj tak hamne jise paas bulaya bi nahi

Sun liya kaise khuda jaane zamaane bhar ne
Wo fasaana jo kabhi hum ne sunaya b nahi

Tum to shaayar ho `Kabeer` or wo ik aam sa shakhs
Us ne chaaha b tumhain or jataya b nahi

Nahi nigah main manzil to justaju hi sahi

Nahi nigah main manzil to justaju hi sahi
nahin wisal mayasar to arzu hi sahi

na tan main khun faraham na ashk ankhon main
namaz-e-shauq to wajib hai be-wazu hi sahi

kisi tarah to jame bazm maikade walo
nahin jo bada-o-sagar to ha-o-hu hi sahi

gar intazar kathin hai to jab talak ai dil
kisi k wada-e-farda ki guftagu hi sahi

dayar-e-gair main mahram agar nahin koi
to `Kabeer` zikr-e-watan apne ru-ba-ru hi sahi

Mera Sawan Bhi Tum Ho Meri Pyas Bhi Tum Ho

Mera Sawan Bhi Tum Ho Meri Pyas Bhi Tum Ho
Sehra Ki Bahou'n Main Chupi Aas Bhi Tum Ho

Tum You'n To Boht Door Ho Mujh Sey
Ehsaas Yeh Hota Hy Merey Paas Bhi Tum ho

Her Zakhm ki Aghosh Mai'n Hy Dard Tumhara
Her Dard Main Tasken Ka Ehsas Bhi Tum Ho

Kho Jaou Tu Veran Si Ho Jaati Hai'n Rahai'n
Mill Jao Tu Phir Jeeny Ka Ehsas Bhi Tum Ho

Likhta Hou'n Tu Tum Hi Utarty Ho Qalam Sey
Parhta Hou'n to Lehja Bhi Tum, Aawaz Bhi TuM Ho..!!

waqt guzre ga to phir dil se mita do ge hamain

waqt guzre ga to phir dil se mita do ge hamain,...

faasle barhte gaye to phir bhula do ge hamain,...

samne hoonge magar tum nahi pehchano ge,...

pyar k jurm ki tum aisi saza do ge hamain,..

be-rehmi to duniya karti hai hamain maloom tha,..

kya pata tha tum bhi ghairon sa dagha do ge hamain,..

dukh to ye hai khawab mai hum ne socha na tha,..

dil ki iss diwangi ka ye sila do ge hamain.......

Chup chap tery raah se guzar jaon to kia ho

Chup chap tery raah se guzar jaon to kia ho.
Khushboo ki tara main jo bikher jaon to kia ho.

Ab kis ko yahan gardish E doaran ki khaber hai.
Ik din hon kisi shab main uter jaon to kia ho.

Bary dair se chup baithay howe soach raha hon.
Aye dost agar tum se bicher jaon to kia ho.

Us sheher main kia hai na wafa hai na mohabbat.
Ab soach raha hon agar jaon to kia ho.

Aankhon main uter jaaen kisy dhoop k manzir.
Ik saam ki dehleez pe mer jaon to kia ho...!

Aag lahra ke chali hai ise aachal kar do

Aag lahra ke chali hai ise aachal kar do
Tum mujhe rat ka jalta huaa jangal kar do

Chand sa misra akela hai mere kagaz par
Chhat pe aajao mera shair mukkamal kar do

Mai tumhe dil ki siyasat ka hunar deta hun
Ab use doop bana do mujhe badal par do

Apane aangan ki udasi se jara baat karo
Neem ke sukhe huyee ped ko sandal kar do

Tum mujhe chhod ke jaoge to mar jaunga
Yun karo jaane se pahle mujhe pagal kar do

Jo tere pyaar ney di mohabbat mujhey

Jo tere pyaar ney di mohabbat mujhey
Ab kisi bhi mohabbat ki perwah nahi

Tu mila to mili aisi jannat mujhey
Ab kisi aur jannat ki perwah nahi

Ek muddat isi kash ma kash mein raha
Jis ki thi aarzoo baat wo ban gayi

Khawab lagtey hain saarey haqeeqat mujhey
Ab kisi bhi haqeeqat ki perwah nahi

Tu mila to mili aisi jannat mujhey
Ab kisi aur jannat ki perwah nahi.

Wednesday 10 April 2013

AAH BAN KAR TERI SAANSOON SE NIKAL AAON GA

AAH BAN KAR TERI SAANSOON SE NIKAL AAON GA

YA KISI ROZ MAIN AANKHON SE NIKAL AAON GA

BHOOL JANA MUJHE AASAN NAHI HAI ITNA

BAATOON BAATOON MAIN HI BAATOON SE NIKAL AAON

PHIR MUJHE FAISLA KARNA HAI K JANA HAI KAHAN

JAB TERAY SHEHAR KI GALIYON SE NIKAL AAOON GA

AB NA SURAJ NA SITAROON SE TAALUQ MERA

TERAY DIN TERI RAATOON SE NIKAL AAON GA

SHART ITNI HAI K BARISH KI TARHA AANA TUM

DEKHNA KAISE MAIN SHAKHOON SE NIKAL AAON GA

JAB PUKARAY GA KOI SABZ JAZEERAY SE HASSAN

SAR PATKHTI HOI LEHROON SE NIKAL AAON GA

LAGZISHOON SE MAADRA TU BHI NAHI MAIN BHI NAHI

LAGZISHOON SE MAADRA TU BHI NAHI MAIN BHI NAHI

DONO INSAAN HAIN KHUDA TU BHI NAHI MAIN BHI NAHI

MASLEHAT NE KAR DIYA DONO MAIN PAIDA IKHTELAF

WARNA FITRAT KA BURA TU BHI NAHI MAIN BHI NAHI

KHOT SHAMIL TERAY DIL MAIN HAI MERAY DIL MAIN BHI HAI

DEKH LE BILKUL KHARA TU BHI NAHI MAIN BHI NAHI

AIK HI DOZAKH MAIN JAL RAHAY HAIN SAATH SAATH

YEH HAQIQAT MAANTA TU BHI NAHI MAIN BHI NAHI

" JAAN-E-Kabeer " TU BHI THA ZIDI AANA MUJH MAIN BHI THI

DONO KHUD SIR THAY JHUKA TU BHI NAHI MAIN BHI NAHI

RAAT SUNTi REHi AUR MEiN SUNAATA RAHA

RAAT SUNTi REHi AUR MEiN SUNAATA RAHA,
DARD Ki DAASTAN MEiN BATATA RAHA,

LOG LOGON SE CHAHAT NiBHATEY REHE,
AiK WO THA MERA DiL JALAATAA RAHA,

DHOOP CHAOON Si USS Ki TABiYAT REHi,
WO NiGAHEiN MiLAATA CHURAATA RAHA,

iK MEiN HE PAYASA RAHA DOSTO,
LOG PEETEY REHE MEiN PiLAATA RAHA,

DiL K MEHMAAM KHANEY MEiN RONAK REHi,
KOi AATA RAHA KOi JAATAA RAHA,

HUM MAKTAB NE SAARA SABAK PARH LiYA,
MEiN TERA NAAM LiKHTA MiTATA RAHA

Tuesday 9 April 2013

NA Qurb k, na wafa k hotay hain

NA Qurb k, na wafa k hotay hain
saaray jhagray ana k hotay hain

baat niyat ki sirf hai warna
waqt saaray dua k hotay hain

bhool jatay hain,mat bura kehna
log putlay khata k hotay hain

woh bazaahir to kuch nahi lagtay
un se rishtay balaa k hotay hain

woh humara hai is tarha se Kabeer
jaisay banday khuda k hotay hain .


Bara kathin hai rasta jo aasakoo to sath doo

Bara kathin hai rasta jo aasakoo to sath doo
ya zindagi ka faasla mita sakoo to sath doo

baray faraib khaoo gay baray sitam uthaoo gay
ya umer bhur ka sath hai nibha sakoo to sath doo

jo tum kahoo to ya dil to kia main jaan bhi fida karoon
jo main kahoon bus ik nazar luta sakoo to sath doo

hazaar imtyhan , hazaar aazmaishain
hazar dukh hazar ghum utha sakoo to sath doo

ya zindagi yahan khushi ghamoon k sath hai
rula sakoo to sath doo hunsa sakoo to sath doo.


Monday 8 April 2013

Kitne Aziyat Say Uss Nay Mujh Ko Bhulaya Ho ga

Kitne Aziyat Say Uss Nay Mujh Ko Bhulaya Ho ga...
Mere Yadoon Nay Ussay Khub Rulaya Ho Ga..

Baat Be-Baat Aankh Uss Ki Jo Chalki Hoo Gi.......
Uss Nay Chahray Ko Bazuoon Main Chupaya Ho Ga

Soocha Hoo Ga Uss Nay Din Main Kaye Baar Mujhy.......
Naam Hathele Par Bhe Likh Likh Kay Mitaya Ho Ga...

Jahan Us Nay Mera Ziker Suna Hoo Ga Kisi Say..
Uss Ki Aankhoon Main Koe Aansoo Tu Aya Hoo Ga..

Raat Kay Bhegnay Tak Neind Na Aye Ho gi Tujhy....... .
Tuu Nay Takeye Ko Bhe Senay Say Lagaya Ho ga..

Hoo Kay Nidhal mere Yadoon Say Tuu Nay Jana........ .
Mere Tasveer Pay Sar Apna Tikaya Hoo Ga......

Poocha Hoo Ga Jo Kisi Nay Tere Halat Ka Sabab....
Tuu Nay Batoon Main Khub Us Say Chupaya Ho Ga....

Woh bhi roi hogi meri Yaad mein

Woh bhi roi hogi meri Yaad mein,
Mujhey bhi ansoo bahaneY do.

Usay kaYe dinoon say naheen dekha,
MujheY us k pass janeY do.

Is choti c zindagi mein chahat nahi hogi,
UsaYchahnay k liYe zamanaY do.

Uski muskaan pe luta do zindagi apni,
Usper lutanaY k liYe khazanaY do.

Haqeqatein sab perh lein usper likhi,
Ab perhney k liYe fasanaY do.

Ik do jaam saY ab kaam naheen,
Pee janay k liYe maY-khanaY do.

Laag aur Lagav ka farq na janti ho kaheen,
Yeh baat mujhey usaY samjhanaY do.

Muqeed ker dia hai tumney mujh ko,
In ankhon mein tu sapnaY sajanaY do.

Chalo! aisaY he azmaa lo tum mujh ko,
Aur mujheY usko bhi azmanaY do.
 

Raaz-e-ulfat chhupa ke dekh liya

Raaz-e-ulfat chhupa ke dekh liya
dil bahot kuch jalaa ke dekh liya

aur kya dekhne ko baaki hai
aap se dil laga ke dekh liya

wo mere hoke bhi mere na hue
unko apna bana ke dekh liya

aaj unki nazar mein kuch humnein
sabki nazarein bacha ke dekh liya

aas us dar se toot ti hi naheen
jaa ke dekha, na jaa ke dekh liyaa

`Kabeer`, taqmeel-e-Gum bhi ho na saki
ishq ko aazmaa ke dekh liya

Mohabbat jeet hoti hai, magar ye haar jaati hai

Mohabbat jeet hoti hai, magar ye haar jaati hai
kabhi dilsoz lamhon se, kabhi bekaar rasmon se

kabhi takdeer waalon se, kabhi majboor kasmon se
mohabbat jeet hoti hai magar ye haar jaati hai

kabhi ye phool jaisi hai, kabhi ye dhool jaisi hai
kabhi ye chaand jaisi hai, kabhi ye dhoop jaisi hai

kabhi masroor karti hai, kabhi ye rog deti ha
mohabbat jeet hoti hai magar ye haar jaati hai

kisi ka chain banti hai, kisi ka chain leti hai
kabhi le pyaar aati hai, kisi ko maar jaati hai

mohabbat jeet hoti hai magar ye haar jaati hai

Sunday 7 April 2013

Rabte k banane mein umer beet jati hai

Rabte k banane mein umer beet jati hai
Faslay simatne mein umer beet jati hai

Tot kar bikharne mein der kitni lagti hai
Aur phir simatne mein umer beet jati hai

ek attal haqiqat hai kis kadar hasinn dhoka
zindagi samajne mein umar beet jati hai

jo anna ke raston pe dor tak nikal jain
un ke phir palatne mein umer beet jati hai

raah mein bichar jaye wo jo hamsafar kaisa
us ko yaad karne mein umer beet jati hai

jab ganwa diya us ko tub humne jana hai
dil ki baat kahne mein umer beet jati hai

Tumharay shehur ka mausum bara suhana lagay

Tumharay shehur ka mausum bara suhana lagay,
Mein aik shaam chora loon ager bura na lagay

Jo doobna hai to itnay sakhon se doobo,
Ke aas paas ki lehron ko bhi pata na lagay,

Tumharay bus mein ager ho to bhool jao hamein,
Tumhein bhulanay mein shaid hamein zamana lagay,

Na hai kuch us ki odaas aankhon mein,
Woh moun chupa ke bhi jaye to be-wafa na lagay,

Hamaray pyaar se julnay lagi hai yeh duniya,
Dua, karo kisi dushmun ki bud-dua na lagay

Saturday 6 April 2013

Us ko chaha to "MUHABBAT" ki taklef samajh aai

Us ko chaha to "MUHABBAT" ki taklef samajh aai,

warna iss lafz ki "SIRF" Tareef Suna kartey thay.

Faryad kar rahe hai tarasti hoe nigahain

Faryad kar rahe hai tarasti hoe nigahain...

Dekhe howy kisi ko bht din guzar gaye.

Zindagi ke talkheeyun ne cheen le sharartain meri

Zindagi ke talkheeyun ne cheen le sharartain meri

Aur log samajhty hain maghroor ho giya hon mein.

Ye sab rastay ke sathi hain enhain akhir bicharna hai

Ye sab rastay ke sathi hain enhain akhir bicharna hai,

Chalo ab ghar chalain sagar buhat aawaragi kar li.

Teri tasweer meri ankhon main basee kyun hai

Teri tasweer meri ankhon main basee kyun hai
Jidhar dekho bus udhar tu hi kyun hai

Teri yadoon say wabasta meri takdeer hai lekin
tujhe naa paa ker meri takdeer roothi kyun hai

Mujh ko hai khaber asaan nahin tujhe haasil karna
phir bhi yeh intizaar yeh bekarari kyun hai

Barson guzar gaye meray tanhayee main lekin
Meri baanhon ko aaj bhi tera intizaar kyun hai

Teri chahat ki kasam khoon kay aansoon royaa hon
Ab nahin hai kuch bakee phir yeh jaan bakee kyun hai

Khatam huwa mera yeh afsana ek baat batadoo lekin
Anjaam tha malooom mujh ko phir yeh muhabbat kyun hai

Tujhe Pyaar mera satayega

Tujhe Pyaar mera satayega

Yaadon ke toofan utthaye ga

Mera naam likh ker kitabon main

Tu logon ke darr se mitayega

Zikar mera aksar karne se pehle

Tu kuch soch ker muskuraye ga

Baatein meri yaad aayengi

Jitna tu unhain bhulaye ga

Tera Dil mujhe jo dekhna bhi chahe

Tu nazron ko phir bhi jhukaye ga

Jis ne mujhe itna sataya hai

Us ka chain bhi koi churaye ga

Woh phool si muskurahat merey liye hoti

Woh phool si muskurahat merey liye hoti
woh masoom shararat merey liye hoti

main us zulf ki chaaon main soo jaata
woh kaali raat merey liye hoti

raat bhar woh ghomaati apna kangan
woh bechayni woh betaabi merey liye hoti

woh ek taara tha khuley aasmaan main
aey kaash woh roshni merey liye hoti

merey wujood main bhi zindagi ka suraagh milta
jo woh munawar nazar merey liye hoti

rishtaa kuch to ban jaata apna bhi
mohabbat nahi na sahi,nafrat merey liye hoti.

Friday 5 April 2013

Ab kis say kahen aur kise sunay jo haal tumhare baad hua

Ab kis say kahen aur kise sunay jo haal tumhare baad hua

Ek jheel si neeli ankhon mai ek khawab bahut barbad hua.!!!

Peshaniyon pe likhe muqaddar nahi mile

Peshaniyon pe likhe muqaddar nahi mile

dastar kahan milenge jahan sar nahi mile

aavaragi ko dubate suraj se rabt hai

magrib ke bad hum bhi to ghar par nahi mile

kal aainon ka jashn hua tha tamam raat

andhe tamashbinon ko pathar nahi mile

main chahata tha khud se mulaqat ho magar

aaine mere qad ke barabar nahi mile

pardes ja rahe ho to sab dekhte chalo sanam

mumkin hai vapas aao to ye ghar nahi mile

Qabal iske ke dono bad’gumani mein ulajh jate

Qabal iske ke dono bad’gumani
mein ulajh jate,

Mere humdum mera tujhse bichar
jana zaruri tha!!!! 

Kaha Us Ne Ke Aakhir Tum Bhula Do Ge Mujhe Ek Din

Kaha Us Ne, Ke Aakhir Tum, Bhula Do Ge Mujhe Ek Din,

Kaha MaiNe, Karoon Main kya K Mar Jana Muqaddar Hai.

Dasht-e-Wafa Mein Pyaas Ka Aalam Ajeeb Tha

Dasht-e-Wafa Mein Pyaas Ka Aalam Ajeeb Tha
Dekha To Aik Dard Ka Dariya Qareeb Tha

Guzrey Jidhar Jidhar Se Tamanna K Qaafley
Her Her Qadam Pe Aik Nishaan-e-Saleeb Tha

Kuch Aysi Meherbaan Tou Na Thi Ham Pe Zindagi
Kyun Her Koi Jahaan Mein Hamara Raqeeb Tha

Apna Pata To Us Ne Diya Tha Mujhy “MOHSIN”
Main Khud Hi Kho Gaya Tou Ye Mera Naseeb Tha

Boht Andar Takk Tabahi Macha Deta Hy,

Boht Andar Takk.... Tabahi Macha Deta Hy,

Wo Ansou Jo Ankhou'n Sey Beh Nahi Pata.

Kash main keh sakoon kabhi tm se

Kash main keh sakoon kabhi tm se
Dil ki har bat ankahi tm se

Kash main keh sakoon kabhi ye bhi
bari mushkil hai dil lagi tm se

Kash ke main keh sakoon ke tm kya ho
Hai mere dil main chandni tm se

Kash main keh sakoon kabhi ke mujhe
Baat karni hai zaroori tm se

Kash ke ye bhi kabhi pooch sakoon
kaise hoti hai berukhi tm se

Kash wo waqt bhi ajaye ke ho
meri duniya main roshni tm se

Kash ye raz keh sakoon main kabhi
Hai ahseen meri shairi tm se

Kash lafzon main kabhi keh paoon
Mil ke hoti hai jo khushi tm se

Kash ye umr yoon guzar jaye
meri yadain rahain saji tm se
 

mare zindage mujhay yaad ker

mare zindage mujhay yaad ker
mai tare har seher ka ghulaam tha

mare aankhon mai piyar ke bhook the
meray lab peh laho ka jaam tha

tare har nazar ko daad milee
mai tare har khushi ka inaam tha

mare khwahishon nay duboch dia
mera dil jo teray naam tha

nah kisi ki mujhay fiqr the
tera zikr jo sar-e-aam tha

usi lafz ko phir say talaash ker
jo zubaan peh subh-u-shaam tha

tujhay aik aik pal ka hisaab mila
ataa hoa jo naam mujhay, woh peghaam tha

tujhay har galee say sada ae
maloom hoa tu mai badnaam tha

mai nay jism-o-jaan ko kia widaa
tera ibrat naak, injaam tha

mare zindage mujhay yaad ker
mai kabhi tera he ghulaam tha

Thursday 4 April 2013

Doobti kasshti ko meri kinara mill jaay

Doobti kasshti ko meri kinara mill jaay
Tere piyar ka gar mauj dhara mill jaay

unke angan mein utre chand ki chandni
mujhey mere muqaddar ka sitara mill jaey

unka daman bhar jaey khushiun se
aur dardo gham mujhey sara mill jaey

zindagi ki pagdandi per chalna ho jaey assan
iss safar mein gar sath tumhara mill jaey.

Jub chaha jazbaat say khailay jub chaha dil tor dia

Jub chaha jazbaat say khailay jub chaha dil tor dia
Hum nay bhi aisay logon say milna julna chor dia...

Tum ko kuch ehsaas nahi hai hairat tu is baat ki hai
Tum nay tu baaton baaton may dil ka chaala phor dia...

Reh reh kar yeh soch raha hoon kaun hai aisa jadoogar
Jis ki ek aawaaz nay barhtay toofan ka rukh mor dia...

Kya karna tha kya kar bhaitay socha samjha kuch bhi nahi
Tum bhi tanha ho mujh ko bhi tum nay tanha chor dia.

Wednesday 3 April 2013

Mein Apna Ajj Apna Kaal Tumhare Naam Karta Hoon

Mein Apna Ajj Apna Kaal Tumhare Naam Karta Hoon
Mein Is Jeevan Ka Har Pal Tumhare Naam Karta Hoon

Mera Guzra Hua Kaal To Mere Mazi Ka Hisah Hai
Mein Apna Ajj Apna Kaal Tumhare Naam Karta Hoon

Khizain, Sardian, Garmi, Baharein, Jara
Mein Har Mosaam Ka Har Har Pal Tumhare Naam Karta Hoon

Tumhare Dukh, Udasi, Gham, Sabhi Ranj-o-Alam Lekar
Mein Yah Khushion Bhari Chagal Tumhare Naam Karta Hoon

Sitare Asmaan Ke Sab Tumhari Mang Mein Bhar Kar
Shaab-e-Tera Ka Sab Kajol Tumhare Naam Karta Hoon

Tumhare Bin Yah Har Aik Pal Mujahy Bechain Rakhta Hai
Mein Apna Dil Hai Jo Bekal, Tumhare Naam Karta Hoon

Barasta Bheegta Mosaam Hai Kamzori Meri Lakin
Mein Yah Sawan, Ghatta, Badal Tumhare Naam Karta Hoon
 

Bhari mehfil main tanha rehna acha lagta hai

Bhari mehfil main tanha rehna acha lagta hai
Terey barey main sochtey rehna acha lagta hai .

Kabhi pholon main ,kabhi kaliyon main
Tujh ko hi dhontey rehna acha lagta hai

Meree zindagi ki khushiyan tumhee say hain wabasta
Rab say sirf tumhein hi mangna acha lagta hai

Hamarey darmiyan hail rahein sadiyon ki khamoshiyan
Kuch is tarhan guftugu karna acha lagta hai

Tumhrey baghir zindagi ka koi tasavur nahi hai
Kuch is tarhan tumharee tamanna karna acha lagta hai

Tum hi ko chaha,tum hi ko chahtey hain
Tumhi ko chahtey rehna acha lagta hai

Main cheen lon ga tumhein duniya ki rasmon say
K mujhye zamaney say baghawat karna acha lagta hai
 

Tuesday 2 April 2013

NighaahOn Mai Abhi Tak Doosra Chehra Nahi Aaya

NighaahOn Mai Abhi Tak Doosra Chehra Nahi Aaya..!!

Bharosa Hi Kuch Aisa Hai Tere Lout Aanay Ka ..

Mehta'ab Rutein ayen to kya kya nh kartein

Mehta'ab Rutein ayen to kya kya nh kartein
Is Umar mein to larkiyan s0ya nh kartien

Kch Larkiyan Anja'am E nazar h0tay hway bh
Jb ghr say nkalti hyn to s0cha nh kartien

Aangan mein Ghanay paer kh neechay teri yadein
Mela sa laga dyti hyn acha nh kartein

kuch aaj shaam se hai dil bhi bujha bujha

kuch aaj shaam se hai dil bhi bujha bujha 

kuch shehar ke chiragh bhi madham hain dosto

Tu to nfrat b na nibha paye ga itni muj se

Tu to nfrat b na nibha paye ga itni muj se

Jitni shiddat se tera pyar nibhaya main ne..

Khuda He Janta Hai Meri Pak Muhabbat Ka Aalam

Khuda He Janta Hai Meri Pak Muhabbat Ka Aalam

K Mujhay Jenay K Liya Sanso'n Ki Nahi Tumhari Zarorat Hai...!!!

sukuun-e-jaaN ke liye ab maiN duaa kaise karuN

sukuun-e-jaaN ke liye ab maiN duaa kaise karuN
dard jab tuune diya hai to gilaa kaise karuN

aksar lauTaa huun manzil se yahi soch ke maiN
ab muqammal ye safar tere binaa kaise karuN

mere she`roN mein yeh asar kahaaN tha pehle
karz maiN teri jafaaon ka adaa kaise karuN

zindagi bhar ki wafaaoN ka silaa hai yaaro
dil-e-barbaad ke zaKhmoN ki davaa kaise karuN

thi koi mere hi haaThon ki lakeeroN meiN kamii
apni taqdeer ka ab tujhse gilaa kaise karuN

meri nas-nas meiN basaa hai jo lahuu ban ke Dost
uski yaadoN se kinaara maiN bhalaa kaise karuN

ab munaasib hai yahi usko bhulaa duuN Kabeer
haaN , magar phuul ko khushbuu se judaa kaise karuN
 

Ankhon main koi khawab utarne nahi deta

Ankhon main koi khawab utarne nahi deta
ye dil keh mujhe chain se marne nahi deta

bichare tu ajab pyaar jatata hai khatoon main
mil jaye tu phir had se guzarne nahi deta

woh shakhs khazan rut main bhi mohtaat hai kitna
sookhe huye phoolon ko bikharne nahi deta

woh dil main tabassum ki kiran gaholne wala
roothe tu ruton ko bhi sanwarne nahi deta

main uss ko manaon ke gham-e-deher se uljhon?
mujhe woh koi kaam bhi karne nahi deta.
 

Monday 1 April 2013

Jab Seena Gham Se Bhojal Ho Aur Yaad Kissi Ki Atti Ho

Jab Seena Gham Se Bhojal Ho Aur Yaad Kissi Ki Atti Ho
Tab Kamre Mein Band Ho Jana Aur Chup ke Chup ke Ro Lena

Jab Ankhein Bhegi Hon Jain Aur yaad Mein Meri Bhar Aain
Phir Khud Ko Dhoka Mat Dena Aur Chup ke Chup ke Ro lena

Jab Palkein Karab Se Mondi Hon Aur sab Samjhein Tum Sote Ho
Tab Moun Par Takeya Rakh Lena Aur Chup ke chup ke Ro Lena

Yah Duniya Zalim Duniya Hai, Yah baat Buhat Phelay Gi
Tum Sab Ke Samne Chup Rehna Aur Chupke chupke Ro Lena

Jab Barish Chehra Dho Dale Aur Ashk Bhi Bondein Lagti Hon
Who Lamha Hargiz Mat Khona Aur Chup ke Chup ke Ro Lena......
 

ya Rabb gham-e-hijraan main itna to kiya hota


ya Rabb gham-e-hijraan main itna to kiya hota

jo haath jigar pe hai woh dast-e-dua hota

ik ishq ka gham aafatt aur us pe ye dil aafatt

ya gham na dia hota ya dil na dia hota

ghairon se kaha tum ne ghairon se suna tum ne

kuch ham se kaha hota kuch ham se suna hota

umeed to bandh jaati taskeen to ho jaati

wada na wafa kartay, wada to kiya hota

nakaam-e-tammanna dil is soch main rehta hai

ye hota to kia hota yoon hota to kia hota?

Kal Shaam Se Aaj Ki Sehar Ho Gayi

Kal Shaam Se Aaj Ki Sehar Ho Gayi,
Dekhte Hi Dekhte Taareekh Bhi Badal Gayi..
Kaise Khumar Hai Mere Yaar Ke Ishq Mein,
Ke Neend Bhi Aayi Nahi Aur Raat Guzar Gayi..

Ek Pal Aisa Na Mila Ke Palkein Moond Lete Hum,
Ek Pal Aisa Nahi Ke Koi Khwab Dekh Lete Hum..
Bas Unke Khayalon Mein Khoye Rahe Aur
Aankh Khuli Rahi..
Ke Neend Bhi Aayi Nahi Aur Raat Guzar Gayi..

Ek Lamha Aisa Na Mila Ke Nazaron Ko Pher Lete Hum,
Ek LAmha Aisa Nahi Ke NAzare Dekh Lete Hum..
Bas Unke Chehre Ki Shokhiyon Mein Doobe Rahe Aur
Nazrein Uljhi Rahin..
Ke Neend Bhi Aayi Nahi aur Raat Guzar Gayi..

Ek Baar Yun Bhi Hua Ke Mere Paas Baithe The Wo,
Ek Baar Aisa Bhi Ki Unki Baahon Mein Simte The Hum..
Ab Kis Qadar Iss gustakh Dil ko Sambhalein Hum,
Khamoshiyon Se Sawal Karta Raha Dil Aur
Kayi Ghadiyan Beet Gayin..
Ke Neend Bhi Aayi Nahi Aur Raat Guzar Gayi

Kon kehta hai tujhe main ne bhula rakha hai

Kon kehta hai tujhe main ne bhula rakha hai

teri yaadon ko kalejay se laga rakha hai

lab pe aahain bhi nahin aankh main aansu bhi nahin

dil ne har raaz muhabbat ka chupa rakha hai

tu ne jo dil ke andheray main jalaya tha kabhi

woh diya aaj bhi seenay main jala rakha hai

dekh ja aa kay mehektay huay zakhmon ki bahar

main ne ab tak tere gulshan ko saja rakha hai
 

Apni Zindagi ki her Shaam Tere Naam kardoon

Apni Zindagi ki her Shaam Tere Naam kardoon
Teri hi Aankhon ka Jaam Tere Naam kardoon

Main Doob jaoon Teri in Jheel si Gehri Aankhon mai
Phir apni Barbadi ka ilzam Tere Naam kar doon

Mai apni Rooh ko Tere Wajood mai bhardoon
Phir apni Zaat apna her Payam Tere Naam kardo

Tuu Mujhey Mohabbat ka Agaaz de Sanam
Mai Apne Pyaar ka Anjaam Tere Naam kardoon

Mohabbaton ke Qaseeday likhoon Teri Sanaa mai
Hazaron Pyaar ke Peghaam Tere Naam kardoon

Ho jiska Zikar Mohabbat ki her kahani mai
Ek aisa Pyaar ka Peghaam Tere Naam kardoon
 

Os ke bina ab chup chap rehna acha lagta hai

Os ke bina ab chup chap rehna acha lagta hai,
Khamoshi sey dard ko sehna acha lagta hai,

Jis hasti ki yaad mein Aanso barstey hain,
Samne os ke kuch naa kehna acha lagta hai,

Mil kar os se Bichar naa jaaon darta rehta hon,
is liye bas door hi rehna acha lagta hai,

janta hon keh chahat mein bas Aanso milte hain,
Kuch bhi ho ab is zehar ko peena acha lagta hai,

Je chahey sab khushiyan laa kar os ko de doon,
Os ke pyaar mein sab kuch khona acha lagta hai,

Os ka milna naa milna Qismat ki baat hai,
Pal Pal os ki yaad mein rehna acha lagta hai,

Os ke bina sab khushiyan efi Ajab si lagti hain,
Roo Roo kar os ki yaad mein sona acha lagta hai
 

Na-Jane kab is Dil ki Hasarat puri hogi

Na-Jane kab is Dil ki Hasarat puri hogi,
Kab mitege Faasle aur Door ye Doori hogi?

Door rehne ki konsi aisi Majburi hogi,
Bina us k Zindagi yakeenan Adhuri hogi

Pyar to wo bhi Hum se Be-Hadd karti hai,
Aayegi tabhi jab apno ki Manzoori hogi

Agar wo nahi aa paye kisi Darr k maare,
Uski Zimmedar bhi ye Dunya Buri hogi

Phirte hain log chehre pe Ronak le ker,
Kab Door Meri Zindagi ki Be-Noori hogi ?

Na-Jane kab is Dil ki Hasarat puri hogi,
Kab mitege Faasle aur Door ye Doori hogi?