Showing posts with label Poetry with image. Show all posts
Showing posts with label Poetry with image. Show all posts

Sunday, 14 April 2013

Tumhari thi shararat mehndi say hatheli pay naam likhna


Tumhari thi shararat mehndi say hatheli pay naam likhna 

Aur mujhe ruswa kar dya tum nay yunhi kheltay kheltay.

Sunday, 31 March 2013

Tu Jo Marzi Maang Le Har Cheez Qurbaan Hai Meri

Photo: Tu Jo Marzi Maang Le Har Cheez Qurbaan Hai Meri..
Ek Jaan Na Maangna, Kyon K Tu Hi To Meri Jaan Hai.

►Open and like
╚•••► https://www.facebook.com/pages/judai-Maar-Deti-Hai/332586413464218

●...♥ Awais Aajiz ♥...● 
 
Tu Jo Marzi Maang Le Har Cheez Qurbaan Hai Meri..

Ek Jaan Na Maangna, Kyun K Tu Hi To Meri Jaan Hai.
 

Hum to uski har khuwahish puri karnay ka wadah kar bethay


Hum to uski har khuwahish puri karnay ka wadah kar bethay

Humain kiya pata humain chorna bhi uski aek khuwahish thi.

Huwa hay tujhsay bicharnay kay baad ab malum


Huwa hay tujhsay bicharnay kay baad ab malum

Kay tu nahi tha teray sath aek dunya thi.

Wednesday, 20 March 2013

Agar mujhsay bicharnay ka nahin hay gum usay


Agar mujhsay bicharnay ka nahin hay gum usay

To phir khamosh raaton mein woh aksar jagta kyun hay.

Hawa kay dosh par rakha hua chiragh hun main


Hawa kay dosh par rakha hua chiragh hun main

Bujh bhi jaun to hawaon say shikayat kesi.

Thursday, 14 March 2013

Muhabbat to barish hai


Muhabbat to barish hai
jisay chonay ki khuwahish main
hatheliyan to gheli ho jati hain
magar hath hamesha khali rehtay hain.

Ik meri jaan hai kay labon tak aa pohnchi hai


Ik meri jaan hai kay labon tak aa pohnchi hai

Ik tu hai kay agar magar pay hai.



Mujhsa koi nahin teray wafadaron main


Mujhsa koi nahin teray wafadaron main 

ur kay reh jaye ga ye rang wafa meray baad.


Ankhon say meri is liye lali nahin jati


Ankhon say meri is liye lali nahin jati
Yadon say koi raat khali nahi jati.
 

Sunday, 10 March 2013

Ye dil bht udaas hai jab say khabar hui


Ye dil bht udaas hai jab say khabar hui 

Miltay ho tum khulos say har aadmi kay sath.

Saturday, 9 March 2013

Mery dil ki wafaon ka hoslah to dekho dost


Mery dil ki wafaon ka hoslah to dekho dost

Talabgaar uska hai jisko mera ahsaas tak nahin.

 

Wednesday, 6 March 2013

Mujhsay nafrat bhi karay to dukh na dena usay


Mujhsay nafrat bhi karay to dukh na dena usay

Aye Rabbay zualjalaal mera intikhab hai woh.

Tuesday, 5 March 2013

Monday, 4 March 2013

Socha tha kay woh bht tut kar chahain gay humain


Socha tha kay woh bht tut kar chahain gay humain
Lekin!
Socha bhi hum nay 
Chaha bhi hum nay
Aur tut bhi hum gaye.

Sunday, 3 March 2013

Mom hai zindagi kay shaalah hai


Mom hai zindagi kay sholah hai

main nay jaltay huway bhi socha hai

aur pighahltay huway bhi socha hai.

Thursday, 28 February 2013

Sang dil


Mom hojata hai aah say pathar lekin

Sang dil ik tera dil pighalta nahin.

Saturday, 23 February 2013

Uski justaju, uska intizar aur akela'pan


Uski justaju, uska intizar aur akela'pan!

Thak kar muskura deta hun jab roya nahin jata.

Dil nadan kisi ko do pehlay


Dil nadan kisi ko do pehlay

shayri mufat nahin hoti.

Kash kay woh lot aye mujh say yeh kehnay


Kash kay woh lot aye mujh say yeh kehnay

Tum kon hotay ho mujh say bicharnay walay.