Sunday 26 May 2013

Main jeet ke haara to kis mor pe aa ke

Main jeet ke haara to kis mor pe aa ke,
Toota tera sahara to kis mor pe aa ke.

Nishaan tak na raha meri chahton Ka kabhi,
Mujhe taqdeer ne maara to kis mor pe aa ke.

Jab na rahi dil mein koi piyar ki hasrat,
Mujhe tum ne pukara to kis mor pe aa ke.

Umar bhar doobte rahe hum gham Ke samandar mein,
Ab ja Ke mila kinara to kis mor pe aa ke.

Guzri hai umar sari youn awara-gardi mein,
Tune bhi zindagi ko sanwara to kis mor pe aa ke...!

Tere Haath Ki Me Woh Lakeer Ban Jaoon

Tere Haath Ki Me Woh Lakeer Ban Jaoon.
Sirf Me Hi Tera Muqadar Teri Taqdeer Ban Jaoon.

Me Tujhe Itna Chahoon K Tu Bhool Jae Her Rishta.
Sirf Main Hi Tere Her Rishte Ki Tasweer Ban Jaoon.

Tu Ankhain Band Kare To Aaoon Main Hi Nazar.
Is Tarha Main Tere Her Khuwab Ki Taabeer Ban jaun...

main likhoun hr ik lafz sirf teri chahat ky naam...
main he tera lehja, teree hr tehreer ban jaoun...!!!

Sun li jo khuda ne woh dua tum to nahin ho

Sun li jo khuda ne woh dua tum to nahin ho,
Darwaazey pe dastak ki sadaa tum to nahin ho,

Simtti huyi sharmaayi huyi raat ki raani,
Soyi huyi kaliyon ki hayaa tum to nahin ho,

Mehsoos kiya tum ko to geeli hui palkein,
Bheegey huye mausam ki adaa tum to nahin ho,

In ajnabi raahon mein nahin koi bhi mera,
Kis ne mujhe yun apna kaha, tum to nahin ho..

Safar Per Sath Chali Thi Jo Rehbaron Ki Tarah

Safar Per Sath Chali Thi Jo Rehbaron Ki Tarah
Juda Huwi Wo Bhi Aakhir Musafiron Ki Tarah

Main Sochta Hun Wo Kaise Bichar Gayi Mujhse ?
Jo Dhoop Me Milti Thi Mujhe Baadalon Ki Tarah

Ajeeb Larki Thi Hawaaon Se Dushmani Le Kar
Woh Rait Per Likhti Thi Mera Naam Paaglon Ki Tarah

Wo Chahaton Ki Mukammal Kitaab Thi Yaaro
Mujhe Fasana Sunati Thi Shaairon Ki Tarah

Woh Pyar Ka Saboot Dikhaya Karta Tha

Woh Pyar Ka Saboot Dikhaya Karta Tha
ansoo Baha Kar Humein Manaya Karta Tha

yeh Zindagi Sirt Tum Se Hi Wabasta Hai
aksar Yeh Baat Humein Bataya Karta Tha

us Ki Batoon Mein Kuch Aisa Asar Tha
mein Barish Ke Bina Hi Bheeg Jaya Karta Tha

soney Ki Fursat Hi Kisay Thi
woh Humein Sari Raat Jagaya Karta Tha

bechaini Jab Had Say Barh Jati Thi
woh Ji Bhar Ke Galay Lagaya Karta Tha

woh Itni Mohabbat Karnay Wala Badal Gaya
jo Har Baat Par Meri Qasam Khaya Karta Tha....!!!

Friday 3 May 2013

"Aaj Mohabbat Ki Inteha Kr Do

"Aaj Mohabbat Ki Inteha Kr Do
Ya Apna Bana Lo Ya Tanha Kr Do

Dil K Aangan Me Mehman Bana Lo
Ya Chaho To Zamane Me Ruswa Kr Do

Door Kar Do Jese Zameen-O-Aasmaan
Ya Kareeb Jese Phool Khusbho Ka Rishta Kr Do

Bewafa Ho Jao Jese Aag Aur Pani,
Ya Phir Mar Kr B Na Maren Aesi Wafa Kr Do...!!
 

Mujhe is Se Koi Gharz Nahi Mere Ru-Ba-Ru Koi Aur Hai

Mujhe is Se Koi Gharz Nahi Mere Ru-Ba-Ru Koi Aur Hai
Teri Khuwahishon K Jahan Me Meri Aarzu Koi Aur Hai

Mujhe Kal B Teri Talash Thi Mujhe Ab B Teri Talash Hai
Na Wo Justaju Koi Aur Thi Na Ye Justaju Koi Aur Hai

Main Hadod-E-Jism Ko Tod Kar,Jo Nikal Gaya,To Pata Chala
Kal Main Hi Main Tha Ab Meri Terha Wahan Hu-Ba-Hu Koi Aur Hai

Tujhay kese Khud Se Juda Karon k Tu Juda Nahi Meri Zaat Se
Ye Bata k Main Koi Aur Hon Ya Bata K Tu Koi Aur hai…!!
 

Uth uth k kisi ka intezar kar k dekhna

Uth uth k kisi ka intezar kar k dekhna,
kabhi tum bhi kisi se pyar kar k dekhna,

kaise t0t'te hen m0habat0n k rishte,
ghaltiyan 2,4 kar k dekhna,

zindagi ka falsafa samjhna h0 t0,
barish men kachi diwaar khari kar k dekhna,

nafrat h0 jaye gi tumk0 bhi dunya se,
m0habbat kisi se beshumaar kar k dekhna...!
 

Dheeray Se Sarakti Hai Raat Us Ke Aanchal Ki Tarah

Dheeray Se Sarakti Hai Raat Us Ke Aanchal Ki Tarah
Uska Chehra Nazar Aata Hai Jheel Main Kanwal Ki Tarah

Baad Muddat Usko Daikha To Jism-o-Jaan Ko Yun Laga
Pyasi Zameen Pe Jaisay Koi Baras Gaya Baadal Ki Tarah

Roz Kehta Hai Seenay Pe Sar Rakh K Raat Bhar Jaga’uon Ga,
Sar-e-Sham Hee Mujhe Aaj Phir Sula Gaya Wo Kal Ki Tarah,

Mere Hee Dil Ka Makee.n Nikla Wo Shakhs “Kabeer”
Aur Mein Shehar Bhar Me Dhundta Raha Usy Kisi Pagal Ki Tarah

Ham Ne "ULFAT" Ka Bharm Sab Se Juda Rakha Ha

Ham Ne "ULFAT" Ka Bharm Sab Se Juda Rakha Ha

Goya Seene Mein Tujey "DIL" Ki Jaga Rakha Ha

Dil Ye Chahey Ke Tu Kabi "BADNAAM" Na Ho

Dekh Zikr Tera Ha Magr Naam Chupa Rakha Hy

Mery Jis Hath Sy Kia Tha Tu Ny "MUSAFA"

Dhoya Hi Nahi Honton Sy Laga Rakha Hy

Ab Hum Samjhe Tery "RUKHSAR" Py Till Ka Matlab

"DOULT-E-HUSN" Pe Darban Bitha Rakha Hy

"JUDA" Ho Gaye Hain To Phir Kia Howa

Teri Tasweer Ko Seeny My Saja Rakha Hy