Thursday 25 April 2013

Hamein to ab bhi woh guzra zamana yaad aata hai

Hamein to ab bhi woh guzra zamana yaad aata hai
tumhe bhi kya kabi koi dewana yaad aata hai…

hawaein tej thi, baarish bhi thi, tufan bhi tha lekin
tera aise main bhi waada nibhana yaad aata hai

guzar chuki thi bahut raat baaton-baaton main
fir uth k woh tera shama bujhana yaad aata hai

ghatayein kitni hi dekhi hain par mujhe
kisi ka rukh pe woh zulfein girana yaad ata hai.

No comments:

Post a Comment