Friday 12 April 2013

Nahi nigah main manzil to justaju hi sahi

Nahi nigah main manzil to justaju hi sahi
nahin wisal mayasar to arzu hi sahi

na tan main khun faraham na ashk ankhon main
namaz-e-shauq to wajib hai be-wazu hi sahi

kisi tarah to jame bazm maikade walo
nahin jo bada-o-sagar to ha-o-hu hi sahi

gar intazar kathin hai to jab talak ai dil
kisi k wada-e-farda ki guftagu hi sahi

dayar-e-gair main mahram agar nahin koi
to `Kabeer` zikr-e-watan apne ru-ba-ru hi sahi

No comments:

Post a Comment