Wednesday 24 April 2013

Koi waqat purana yaad aya koi door suhana yaad aya

Koi waqat purana yaad aya, koi door suhana yaad aya
Wo chaak say in dewaron par, kuch likh kar jana yaad aya

Tere milna neem ki chaoon mein, aur sar rakh dena kandhay par
Mera yeh kehna koi dekh na lay, tere wo ghabrana yaad aya

Kabi aisay b to hota tha, mai tum say milnay jata tha
Jab wapis anay lagta tha, tera hath hillana yaad aya

Wo waqt gaya lamhay beetay, ab har janib tanhai hay
Wo ek hay manzar ankhon mai, tera choor k jana yaad aya

No comments:

Post a Comment