Monday 1 April 2013

ya Rabb gham-e-hijraan main itna to kiya hota


ya Rabb gham-e-hijraan main itna to kiya hota

jo haath jigar pe hai woh dast-e-dua hota

ik ishq ka gham aafatt aur us pe ye dil aafatt

ya gham na dia hota ya dil na dia hota

ghairon se kaha tum ne ghairon se suna tum ne

kuch ham se kaha hota kuch ham se suna hota

umeed to bandh jaati taskeen to ho jaati

wada na wafa kartay, wada to kiya hota

nakaam-e-tammanna dil is soch main rehta hai

ye hota to kia hota yoon hota to kia hota?

No comments:

Post a Comment