Sunday, 14 April 2013

Huee hai shaam to aankhon mein bas gaya phir tu

Huee hai shaam to aankhon mein bas gaya phir tu
kahaan gaya hai mere shaher ke musafir tu

meri misaal ki ek nasl-e-khusk-e-sehra hoon
tera khayaal ki shaakh-e-chaman ka taayar tu

main jaanta hoon ki duniya tujhe badal degi
main maanta nahi ke aisa nahi bazaahir tu

hansi-khushi se bichhad ja agar bichhadna hai
ye har maqaam pe kya sochta hai aakhir tu

fiza udaas hai rut muzmahil hai main chhup hoon
jo ho sake to chala aa kisi ki khaatir tu

tune usse mushkilo`n mein daal diya
zamaana saahib-e-zarr aur sirf shaayar tu.

No comments:

Post a Comment