Friday 12 April 2013

waqt guzre ga to phir dil se mita do ge hamain

waqt guzre ga to phir dil se mita do ge hamain,...

faasle barhte gaye to phir bhula do ge hamain,...

samne hoonge magar tum nahi pehchano ge,...

pyar k jurm ki tum aisi saza do ge hamain,..

be-rehmi to duniya karti hai hamain maloom tha,..

kya pata tha tum bhi ghairon sa dagha do ge hamain,..

dukh to ye hai khawab mai hum ne socha na tha,..

dil ki iss diwangi ka ye sila do ge hamain.......

No comments:

Post a Comment