Thursday 28 February 2013

Tum mery ho

Jb Wo Mera Nam Apne Hatho Ki Lakeeron Me Tlash Kr Kr K Thak GaY
To Sr Jhukaya Or Ro K Kaha

"Lakeeren Jhot Bolti hen"

"Tum Mery Ho"

Mujhae Paana Itna Mushkil To Nahi

Mujhae Paana Itna Mushkil To Nahi ♥

Teen Lafzon K Liye Kuch Mehnat To Kijiye ♥

Judaaiyaan To Muqadder Hai Phir Bhi Jaan-E-Safar

Judaaiyaan To Muqadder Hai Phir Bhi Jaan-E-Safar

Kuch Aur Door Zara Saath Chal Ke Dekhte Hain

Haal anjaam-e-ishq kya kahiye

Haal anjaam-e-ishq kya kahiye,

Ab to hum bhi lage hain pachtaaney.

Us Ne Poocha Zindagi Kis Nay Barbad Ki

Us Ne Poocha Zindagi Kis Nay Barbad Ki....???

Hum Nay Ungli Othai Aur Apny Hi Dil Pe Rakh Di

Aey Waqt Guzar Ja Ke Ye Lamha Ajeeb Hai

Aey Waqt Guzar Ja Ke Ye Lamha Ajeeb Hai

Pakar Ke Hath Wo Bicharnay Ki Bat Karta Hai.

Atiya -E- Yaar B Koi Thukrata Hai Bhala

Atiya -E- Yaar B Koi Thukrata Hai Bhala..

Teri Tarhan, Tera Ghum B Sir Aankhon Pe. 

Ulfat-e-Yaar Mein Khuda Se Aur Maangun Kya

Ulfat-e-Yaar Mein Khuda Se Aur Maangun Kya

Bus Yeh Dua Hai Ke Tu Duaaon Ka Bhi Mohtaaj Na Ho

Wafain Mangty Phrty Hain Faqeeron Ki Tarah

Wafain Mangty Phrty Hain Faqeeron Ki Tarah
 
Ajeeb Log Hain Kehty Hain Mohabbat Ki Hai....

Teri Aarzoo Hai Agar Jurm Koi

Teri Aarzoo Hai Agar Jurm Koi..

Tu Is Jurm Ki Main Saza Chahata Hoon.

Agar chahu to aik nigaah say khareed lo usko

Agar chahu to aik nigaah say khareed lo usko

Jo khud par naz karta hey k bhikta nahi ho main 

Main dewaana ban gaya hon kaisi ye muhabat hai

Main dewaana ban gaya hon kaisi ye muhabat hai
zindghi se barh k mujh ko ab teri zarorat hai
mujhe ko tu chahye
tera pyar chahye
ek bar nahi
sau baar chahye
har sans main apni tujh pe lutaon ga
dil k laho se tere mang sajaon ga
es tarha ashqi ka asar chor jaon ga
tere chahre pe apni nazar chor jaon ga

MaiN zindagi ke azab likhoon ya Khuvaab likhoon

Mere Khudaya! maiN zindagi ke azab likhoon ya Khuvaab likhoon
yeh mera chehra, yeh meri aankhaiN
bujhey hoey haiN chiragh jaisey
jo phir se jalney ke muntazir haiN

Voh chaand chehra, sitara aankhaiN
voh meherbaaN, saaya_dar zulfaiN
jinhooN nay paimaaN kiye thai mujh se
rifaqatooN ke, mohabbatooN ke
kaha tha mujh se ke aaey musafir, raah-e-vafa ke
jahaN bhi jaey ga hum bhi jaingaiN saath tere
banaigaiN ratooN maiN chandni hum
to din main saeey bakhair daiN gaiN

voh chaand chehra, sitara aankhaiN
voh meherbaaN saaya_dar zulfaiN
voh apney paimaaN rifaqatooN ke, mohabbatooN ke
shikast kar gaey haiN
najaney abb kis kis reh_guzar ka minarah-e-rooshni hoey haiN
magar musafir ko kia Khabar hai
voh chaand chehra to bujh gaya hai
sitara aankhaiN to so gai haiN
voh zulfain bay_saya ho gai haiN
voh rooshni aur voh saey meri aata` thai
so meri rahooN maiN aaj bhi haiN
ke maiN musafir raah-e-vafa ka

voh chaand chehra, sitara aankhaiN
voh meherbaan saya_dar zulfaiN
hazaroon chehrooN, hazarooN aankhoon
hazarooN zulfoon ka ek sailaab-e-tund lay kar
mere tauqub maiN aa rahey haiN

har ik chehra hai chaand chehra
haiN saree aankhain sitara aankhaiN
tamam haiN saya_dar zulfaiN
maiN kisko chahooN
maiN kisko poojooN
maiN kis ke saaey main baith jaooN
bachooN ke toofaaN maiN doob jaoooN
ke mera chehra, na meri aankhaiN

Mere Khudaya! maiN zindagi ke azab likhooN ya Khuvaab likhooN

Tujhay udaas bhi karna tha khud bhi rona tha

Tujhay udaas bhi karna tha khud bhi rona tha

ye haadsa bhi meri jan kabhi tau hona tha

Usse Bhool Jane Ki Kasam Khata To Houn Har Roz Magar

Usse Bhool Jane Ki Kasam Khata To Houn Har Roz Magar…

Bas Tapak Padte Hain Ansu Kasam Phir Se Toot Jati Hain...

Kahay Ga Jhoot Woh Hum Say K Tumhare Yaad Aati Hai

Kahay Ga Jhoot Woh Hum Say K Tumhare Yaad Aati Hai,

Koi Hai Muntazir Kitna ? Yeh Lehjay Bol Detay Hai..!!

Woh kisi or ka hoga to Qayamat ho gi

woh kisi or ka hoga to Qayamat ho gi,
Phir kisi ko bhi kisi sa na mohobbet ho gi,

usy dekhay koi aacha nahi lagta mujh ko,

Us se barh kr bhikoi or muhabbat ho gi,

Raat kal chaaand ko dekha to ye ehsaas hua,

Woh akela hy usy meri zarurat ho gi,

Ay \"khuda\" us ko kisi Or ka honey na dena!!!!!

Zindagi bhar mujhy phir khud say shikayat ho gi.....
Woh Kisi Aur Ki Hogi To Inayat Hogi

Yu Muhabbat Ko Sakhawat Se Ukhuwat Hogi

Usay Dekh Kar He Kuch Acha Nahin Lagta Mujh Ko

Kuch Dair Aur Yu Dikhi To Qayamat Hogi
Raat Kal Chand Ko Dekha To Ye Ehsaas Hua

Safed Anday Mein Zardi Ki Milawat Hogi

Aay \"KHUDA\" Woh Kisi Aur Ki Ho Na Paye

Warna Maut Her Mard Ki Wasiyat Hogi...

kuch waqt ki rawani ne humein youn badal dia

kuch waqt ki rawani ne humein youn badal dia 
"mohsin"
wafa pe ab b qaim hain, magar mohabbat chor di hum ne.

Ab jo bichray hain to ehsaas hua hai hum ko

Ab jo bichray hain to ehsaas hua hai hum ko
Dard kya hota hai tanhai kisay kehtay hain
Char su gunjti ruswai kisay kehtay hain
Ab jo bichray hain to ehsaas hua hai hum ko
Koi lamha ho teri yaad mai kho jatay hain
Ab to khud ko bhe muyassar nahi aaa patay hain
Raat ho din ho tere pyar mai hum behtay hain
Dard kya hota hai tanhai kisay kehtay hain
Ab jo bichray hain to ehsaas hua hai hum ko
Woh jo ghum aye usay dil pay saha kertey thay
aik saath hum mil ker raha kertey thay
Ab akelay he zamanay ke sitam sehtay hain
Dard kya hota hai tanhai kisay kehtay hain
Ab Jo bichray to ehsaas hua hai hum ko
Hum Nay khud apni raahon mai bichaye kantay
Gher mai phoolon ke jagah la ker sajaye kantay
Zakham iss dil mai basaye howe khud rehtay hain
Yun toh duniya ki har cheez haseen hoti hai
Pyar say maghar kuch bhe nahi hoti hai
Rastah rok kay har aik say yehi kehtay hain
Ab jo bichray hain toh ehsaas hua hai hum ko
Dard kya hotah hai tanhai kisay kehtay hain
Char so gunjti ruswai kisay kehtay hain
Ab jo bichray to ehsaas hua hai hum ko.

Ishq Karna Hai Toh Phr Dard Bhi Sehna Seekho

Ishq Karna Hai Toh Phr Dard Bhi Sehna Seekho...

Warna Aesa Karo Oqaat Mein Rehna Seekho.

Na Haath Thaam Sakay Na Paker Sakay Daman

Na Haath Thaam Sakay Na Paker Sakay Daman

Bohat He Qareeb Say Uth Kar Bicher Gaya Koi.

Aaj tanhai ne thorha sa dilasa jo dia

aaj tanhai ne thorha sa dilasa jo dia ,,
kitne roothe huwe saathi mujhe yaad aaye hain ,,

mosam e wasl ki kirno ka wo anboh rawan,,
jis k hamrah kisi zohra jabeen ki doli ,,
aise utri thi k jaise koi aayat utre,,

hijr ki shaam k bikhre huwe kaajal ki lakeer ,,
jis ne aankhon k gaabon pe shafaq chirhki hai ,,
jaise khushbu kisi jangal men bar'hana thehre,,

khalqat e shehar ki jaanib se mlamat ka azaab,,
jis ne aksar mujhe ,,,,, hone,,,, ka yaqeen bakhsha hai ,,

dast e aada men wo khinchti hui tohmat ki kamaan,,
baarish e sang men khulti hui teeron ki dukaan ,,
mehrubaan dost,,,, rafaqat ka bharam rakhte huwe ,,
ajnabi log dil o jaan men qadam rakhte huwe ,,

aaj tanhai ne thorha sa dilasa jo dia ,,
kitne roothe huwe saathi mujhe yaad aaye hain,,
ab na pindaar e wafa hai na muhabbat ki jaza ,,
dast e aada ki kashish hai na rafeeqon ki saza ,,
takhta e daar ,, na mansab ,, na adalat ki khalish,,
ab to ek cheekh c honton men dabi rehti hai ,,

raas aaye ga kise dasht e bala mere baad ,?
Kon maange ga ujarhne ki duaa mere baad ?

Aaj tanhai ne thorha sa dilasa jo dia ,,
kitne roothe huwe saathi mujhe yaad aaye hain,.


Mohabbat Thahar Jaati Hai

Mohabbat Thahar Jaati Hai
Hum aksar yeh samajhtay hain
Jisay hum piyaar kartay hain
Usay hum bhool baithay hain
Magar aisa nahin hota
Mohabbat daimi such hai
Mohabbat thahar jaati hai !!!
Hamari baat kay andar
Mohabbat baith jaati hai
Hamari zaat kay andar
Magar yeh kam nahin hoti
Kisi bhi dukh ki soorat mein
Kabhi koi zaroorat mein
Kabhi anjaan se gham mein
Kabhi lehjay ki thandak mein
Udaasi ki zaroorat mein
Kabhi baarish ki soorat mein
Hamari aankh kay andar
Kabhi aab-e-rawan ban kar
Kabhi qatray ki soorat mein
Bazahir aisa lagta hai
Usay hum bhool baithay hain
Magar aisa nahin hota
Magar aisa nahin hota....
Yeh hargiz kam nahin hoti...
MOHABBAT THAHAR JAATI HAI.

Sang dil


Mom hojata hai aah say pathar lekin

Sang dil ik tera dil pighalta nahin.

Aisa Nahi Ke Humko Mohabbat Nahi Mili

♥••♥ Aisa Nahi Ke Humko Mohabbat Nahi Mili ♥••♥
♥••♥ Jise Chahte The Humko Wo Ulfat Nahi Mili ♥••♥

♥••♥ Milne Ko Zindagi Mein Kayi Humsafar Mile ♥••♥
♥••♥ Par Unki Tabiyat Se Apni Tabiyat Nahi Mili ♥••♥

♥••♥ Chehron Mein Dusron Ke Tumhein Dhundte Rahe ♥••♥
♥••♥ Surat Nahi Mili Kahin Seerat Nahi Mili ♥••♥

♥••♥ Bahut Der Se Aaya To Mere Paas Kya Kahun ♥••♥
♥••♥ Alfaaz Dhundne Ki Bhi Mohlat Nahi Mili ♥••♥

♥••♥ Tujhko Gila Raha Ke Tawajooh Na Di Tujhe ♥••♥
♥••♥ Lekin Hamein Khud Apni Mohabbat Nahi Mili ♥••♥

♥••♥ Har Shakhs Zindagi Mein Bahut Der Se Mila ♥••♥
♥••♥ Koi Bhi Chiz Waqt-E-Zaroorat Nahi Mili ♥••♥

♥••♥ Humko To Teri Aadat Achhi Lagi Magar ♥••♥
♥••♥ Afsos Ke Tujh Se Meri Aadat Nahi Mili ♥••♥

Doob Rahi Hain Saansein Magar Ye Ghumaan Baaqi Hai

Doob Rahi Hain Saansein Magar Ye Ghumaan Baaqi Hai
Aaney Ka Kisi Shakhs Ke Abhi Imkaan Baaqi Hai

Mudat Hui Ek Shakhs Ko Bichrey Lekin
Aaj Tak Maire Dil Pe Ek Nishaan Baaqi Hai

Woh Sayibaan Chin Gaya To Koi Gham Nahin
Abhi To Maire Sar Pe Ye Aasmaan Baaqi Hai

Kashti Zara Kinarey Ke Kareeb Hi Rakhna
Biphri Hui Lehron Mein Abhi Toofaan Baaqi Hai

Ghamon Say Keh Do Ke Abhi Na Rakht-e-Safar Baandhein
Ke Abhi To Maire Jism Mein Kuch Aur Jaan Baaqi Hai

Jaa Chuke Gain Sab Log Khamosh Pari Hai Basti
Magar Kisi Aas Pe Ek Makeen-e-Makaan Baaqi Hai.

Apne dil ko sambhalo aur so jao

Apne dil ko sambhalo aur so jao
Ansoo ankhon mein chupa lo aur so jao

Kuch nahi milta ishq mein siway iss ke
Gham ki barish mein naha lo aur so jao

Chor do ye raaton ko dair tak jaagna
Us ki yaad dil se mita lo aur so jao

Ishq mein hamesha bewafai he hoti hai
Ye baat zehan mein betha lo aur so jao..

Zikr-e-shab-e-firaq se wahashat use bhi thi

zikr-e-shab-e-firaq se wahashat use bhi thi
meri tarah kisi se muhabbat use bhi thi

mujh ko bhi shauq tha naye chehron ki did ka
rasta badal k chalne ki adat use bhi thi

us rat der tak wo raha mahw-e-guftagu
masruf main bhi kam tha faragat use bhi thi

sunata tha wo bhi sab se purani kahaniyan
taza rafaqaton ki zarurat use bhi thi

mujh se bichar k shahar main ghul mil gaya wo shakhs
halanke shahar bhar se raqabat use bhi thi

wo mujh se barh k zabt ka adi tha ji gaya
warna har ek sans qayamat use bhi thi.

Wednesday 27 February 2013

Bat to dil shikan hy pr yaaro

Bat to dil shikan hy pr yaaro

aqal sachi the ishq jhoota tha.

Sab Ki Nazron Ka Woh Khuwab Hua Karta Tha

Sab Ki Nazron Ka Woh Khuwab Hua Karta Tha,

Chand Sitaray Us K Samnay Maand Partay Thay,

Woh Toh Khud Mahtab Hua Karta Tha,


Lehja Aisa Tha Jaise Khilti Hui Kali,

Apni Baaton Mein Woh La-Jawab Hua Karta Tha,

Phir Yun Hua Ishq Ho Gaya Kissi Se,

Muhabbat Lafz Jis K Liye Mazak Hua Karta Tha…

Phir toot k aisa bikhra k kbhi sambhal na paya

wo jo apni misaal aap hua krta tha

ab tanhai k andheron main gum hy kahen

Raqs kartay hyn teray khwb meri ankhoun mein

Raqs kartay hyn teray khwb meri ankhoun mein

in ko too rung E haqeeqat ki aik zameen dy dy...

Mujh ko Gunaah-gaar kahey...Orr Sazaa na day

Mujh ko Gunaah-gaar kahey...Orr Sazaa na day....

Itna bhi Akhtiyaar...kisi ko khuda na day....

Yunhi logon ne usko meri mohabat samajh liya

yunhi logon ne usko meri mohabat samajh liya

woh shakhs mujhe jaan se pyara hai aur bus.

Mohabbaton Ki Rutain To Sada Rehti Hain

Mohabbaton Ki Rutain To Sada Rehti Hain,

Ye Aur Baat K Log Hain Mosamon Ki Tarah...!

Mein wahan hun jahan jahan tum ho

Mein wahan hun jahan jahan tum ho.....

Tum karo gay kahan kahan say gurezaa'n

Yadon key phool sookh na jayen is liay

Yadon key phool sookh na jayen is liay....

Aankhon ko ashk baar kia ha kabi kabi.....

Mera Ishq Sailab Mera Hi Khoon-e-Jigar Hai

Mera Ishq Sailab Mera Hi Khoon-e-Jigar Hai,
Mein Lehron Se Poochta Raha Mera Sahil Kidhar Hai,

Na Sahil Mila Na Lehron Se Koi Jawab,
Mere Ashqon Ne Hi Kiya Mujhe Barbad....

Ab Tark-e-Aarzoo pay Majboor Kar Rahe Ho

Ab Tark-e-Aarzoo pay Majboor Kar Rahe Ho......

Jab Tum Ko Bhool Jana Dushwar Ho Gaya Hai...!

Ab teri yaad say wehshat naheen hoti mujh ko

Ab teri yaad say wehshat naheen hoti mujh ko
Zakham khulney se aziyat naheen hoti mujh ko

Ab koi aaye chala jaye main khush rehta hoon
Ab kisi shakhs ki aadat naheen hoti mujh ko..

Aesa badla hoon teray sheher ka paani pi kar
Jhoot boloon to nidaamat naheen hoti mujh ko

Main ne bhi ki hey mohabbat, so kisi ki khatir
Koi marta hai to hairat naheen hoti mujh ko

Itna masroof hoon jeenay ki hawas main yaaro
Saans leney ki bhi fursat naheen hoti mujh ko ..

Ek yhe aas he kafi hy meray jeenay mein

Ek yhe aas he kafi hy meray jeenay mein
Dil nh aap dharaktay hyn meray seenay mein

Tjh say jo ghaao milay dil say laga letay hyn
Kitni lazat hy teri zaat kh ghum peenay mein

Kabhi tum Apni mohabbat ka aitebar to do

Kabhi tum Apni mohabbat ka aitebar to do,

Main chahon toot k tum ko yeh ikhteyar to do,

Guzarti hi nahi mujh say yeh zindagi tanha..

Sahara pyar ka day kar usay guzaar to do,

Hum sochty hain tumharay bagair kya hoga..

Dil-o-Demag per ek bojh hai utaar to do,

Meray khaiyal ki rahon ko kehkashan kar do,

K roshni say mayri zindagi sanwaar to do,

Umeed- e-Wasal Gham-e-Hijar ka madawa hai..

Main intezar karon Zabt-e-intezar to do.

Tumhare Akks Ko Aankhon Mein Hum Tasveer Kar Lete

Tumhare Akks Ko Aankhon Mein Hum Tasveer Kar Lete
Zara Jo Tum Thehar Jaate Koi Tadbeer Kar Lete

Tumhara Hath Mere Hath Se Yun Chott Jæga
Agar Mujko Khabar Hoti Issey Zanjeer Kar Lete

Sunehre Khuwab Thy Mere Tumhari Jheel Aankhon Mein
Hum Inn Mein Doob Jaate Aur Phir Tabeer Kar Lete

Shehenshahon Ne Humse Jab ZameeneN Cheen Li Toh Phir
Hamein Tera Khayal Aaya Tumhen Jageer Kar Lete

Bichadte Waqt Chehre Par Jo Sadiyon Ki Udasi Thi
Agar Hum Hosh Mein Hote Usse Tehreer Kar Lete...!!

Tuesday 26 February 2013

Naya Khissa Mohabbat Ka Khul Gaya Dekho

Naya Khissa Mohabbat Ka Khul Gaya Dekho,.
Rang Mohabbat Ka Har Taraf Ghul Gaya Dekho,.

Hua Hai Madhosh Har Koi Is Bazm Mein,.
Silsila Har Ek Ka Kisi Ek Se JurGaya Dekho.,

Rahe Fizaayein Yunhi Aashikhaana Is Mehfil Mein,.
Meri Taraah Har Ek Dil Kaheen Kho Gaya Dekho,.

Sab Ka Kehna Sach Nikla Ke Ishq Samander Hai,.
Har Ek Shaks Yahaan Mohabbat Mein Doob Gaya Dekho...!!

Kisi se pyar karta hoon hamesha haar jata hoon

Kisi se pyar karta hoon hamesha haar jata hoon
Main jitni baar karta hoon hamesha haar jata hoon

Kabhi sham se pehle kisi jana ki ankhon se
Ye ankhein 4 karta hoon hamesha haar jata hoon

Kabhi kisi mehfil mein wafa ki guftagoo par
Jab takrar karta hoon hamesha haar jata hoon

Nigahon mein to doosron se baazi jeet jata hoon
To jab izhaar karta hoon hamesha haar jata hoon

Ke shayad iss dafa koi mujhe apna bana le ga
Hamesha pyar karta hoon hamesha haar jata hoon ...!!


Har taraf aag hai daman ko bachaon kaise

Har taraf aag hai daman ko bachaon kaise ??
Dard apno ne diya hai toh bhulaon kaise ??

Honth khulte hain toh toheen-e-wafa hoti hai
Zakhm jo tumne diye hain woh dikhaun kaise ??

Duniya zalim hai tadapne bhi nahi deti
Apne hontho pay tere geet laun kaise ??

Mujhse ab tere gam ki hifazat nahi hoti
Apni bheegi hui aankho ko chupaun kaise ??

Log dushman hain zamane mein wafa kay "jana"
Mere dil pay jo guzarti hai sunaun kaise....!

Monday 25 February 2013

Sar jukaoge to patthar devta ho jayega

Sar jukaoge to patthar devta ho jayega
Itna na chahho usse, woh bewafa ho jayega

Hum bhi darya hain, humein apna hunnar maloom hai
Jiss taraf bhi chal padenge, raasta ho jayega

Mein Khuda ka naam le kar pee raha hoon doston
Zehar bhi iss mein agar hoga, Dawa ho jayega

Rooth jana to mohabbat ki alaamat hai magar
Kya khabar thee mujhse woh itna khafa ho jayega....!!

Apni Yadain apni Batain Le Kr Jana Bhool Gia

Apni Yadain,apni Batain Le Kr Jana Bhool Gia,
janay Wala Jaldi Main Tha Mil Kr Jana Bhool Gia,

mur Mur K Dekha Tha Usnay Jatay Rustay Main ,
jaisay Usnay Kch Kehna tha Jo Wo Kehna Bhool Gia,

meri aankhain Poonch Raha Tha Aanchal Se,
usko gham Tha Itna ziada Khud Wo Rona bhool gia,

wqt K Behtay Dharay Main Kesi Hum Ne Ghaflat Ki,
main Bi Kehna Bhool gia wo Bi rukna bhool gia,

Dard kaisa Bhi ho Aankh Nam na karo

Dard kaisa Bhi ho Aankh Nam na karo
Raat kaali hi sahi koi Gham na karo

ik Sitara Bano Jagmagatay Raho
Zindagii Mein Sada Muskaratay Raho

Baant'ni Hai Agar Baant Lo Har khushi
Gham na Zahir karo Tum kisi Per kabhi

Dil ki Gehraai Mein Gham Chupatay Raho
Zindagii Mein Sada Muskaratay Raho

Ashk Anmool Hein kho Na Dena kahin
in ki Har Boond Hai Motiyoon Se Haseen

in ko Har Ankh se Tum Churatay Raho
Zindagii Mein Sada Muskaratay Raho

Faaslay kam karo Dil Milatay Raho
Zindagii Mein Sada Muskaratay Raho

Mujh ko ik hamdam mila tha ..ik safar ki raat main

mujh ko ik hamdam mila tha ..ik safar ki raat main
main bohat bey khud hos tha.. ik safar ki raat main ...!

janay kis ki yaad thi keh...aik manzar dekh ker
toot ker main ro para tha ...ik safar ki raat main ...!

her tarf phelay hoye thay yaad e ghum k silsilay
kitna mushkil raasta tha ..ik safar ki raat main ...!

ghar say bahir paa'on rakhtay he ..larz uth'ta hay dill
haadsa aisa hoa tha ....ik safar ki raat main ......!

wo...keh jis say ..umar bhr ki dooryan mansob hain ..
meray seenay say laga tha ..ik safar ki raat main ..!

aaj bhi main gungunata hoon..usay tanhaai main ...
geet jo hum ne suna tha ..ik safar ki raat main ..!

us ki yaadon k saharay kar raha hoon zindagi..
jo mujhay DOSTO mila tha ..ik safar ki raat main ..!

Na jaane Dhoondte ho kia meri veeran aankhon main

Na jaane Dhoondte ho kia meri veeran aankhon main
chupa rakhe hain hum ne to kayi toofan aankho me. .

kahan wo shokhiyaan pehle si.
aub kuch bhi nahi baqi. . . .

Chaley Aaye ho tum kiya khojne be-jaan aankhon main
kisi ka hath le kar haat main jub wo miley hum se. .

to kaise toot k bikhra tha mera maan aankho me. .

na samjho chup hain hum to us se koi shikwa nahi. . .
hum apne dard ki rakhte nahi pehchaan aankhon mein.

Suna hy aaj kal woo preshan rehti hai

Suna hy aaj kal woo preshan rehti hai
Usse kehna be-fikar main b nahi hoon

Suna hay wo gumsum rehti hai
Usse kehna hazir zehan main b nahi hoon

Suna hay wo raaton ko jaga karti hai
Usse kehna sota main b nahi hoon

Suna hay wo chup chup k roti hai
Usse kehna hansta main b nahi hoon

Suna hai wo mujhe yaad buhat karti hai
Usse kehna bhoola main b nahi hoon

Suna hy usne wafa ka daawa kia hai
Usse kehna bewafa main b nahi hoon...!!

Sunday 24 February 2013

Toot jay Na Bharam hont hilaon keisy

Toot jay Na Bharam hont hilaon keisy,
Haal jaisa Bi hai Per Logon ko Dekhaon keisy,

Phool hota to Tere Dar py saja Bhi rehta,
Zakham ley kar Teri Dehleez Py Aaon keisy,

Tu hi batla Meri Yaadon ko Bhulany waly,
Main Teri Yaad ko Es DiL sy Bhulaon keisy,

Khushk Aankhon mein Bhi Ashkon ki Mehak Ati hai,
Tera Ghum Ankh k Daman mein Chupaon keisy,

Wo rulata hai to Rulaye Mujhy jee Bhar k
Meri Ankhein hain Wo! Main Us ko rulaon keisy

Teri ankhon ka ye kajal bara anmol lagta hy

Teri ankhon ka ye kajal bara anmol lagta hy,
Teri zulfo ka ye badal bara anmol lagta hy,

Bara masoom sa hy ye tere chehre ka bhola pan,
Tera wo shok chanchal dil bara anmol lagta hy,

Tere pairon ki wo payal tere hathon ka wo kangan,
Wo jhumka tere kaano ka bara anmol lagta hy,

Jo milty ho mujhse rahon mn to diljhoom uthta hy,
Zara se sath ka wo pal bara anmol lagta hy,

Wo kaghaz pe tera naam likhna or mita dena
Mujhy ye khud ka pagal pan bara anmol lagta hy.

Masroof Hai Din Raat, Usay Waqt Kahan Hai

Masroof Hai Din Raat, Usay Waqt Kahan Hai,,
Woh Mujhse Karay Baat, Usay Waqt Kahan Hai.....♥

Betaabii e Dil Ka Usay Andaaza Nahin Hai,,
Samjhe Mere Jazbaat, Usay Waqt Kahan Hai.....♥

Bhoolay Se Hi Poochhnay Aajaye Mera Haal,,
Ae Gardish e Haalaat, Usay Waqt Kahan Hai.....♥

Mojon Mein Tarapta Huwa Main Doob Raha Hoon,,
Thaamay Woh Mera Haath, Usay Waqt Kahan Hai.....♥

SAAHIL Udas Tha K SAMUNDAR Udaas Tha

SAAHIL Udas Tha K SAMUNDAR Udaas Tha..
Lagta Tha Jaise Sara MANZAR Udaas Tha ...

Loti FALAK Se To Bari DIL'GEER Thi DUA..
Ek KHAWAB Totnay Par MUQADDAR Udaas Tha ...

Phir CHAAND Ko Laga Kar Galay RO Pari GHATTA..
Aisa Laga TUFAAN Bhi Falak Par Udaas Tha ...

Meri TABAHIYON Par Usay Bhi MALAL Tha..
AAINA Khud Ka TOR K PATHAR Udaas Tha ...

Jo SHAKHS SHEHAR Main Sab Hi Ko HANSI Bantta Raha..
Ye DIL Usi Ki BAZAM Main Ja Kar Udaas Tha ...

Tum mujhe bhool jao to ye haq hai tumko

Tum mujhe bhool jao to ye haq hai tumko…
Mairi baat aur hai maine to mohabbat ki hai…

Maire dil ki maire jazbaat ki qeemat kia hai…
Uljhe uljhe se khayalat ki qeemat kia hai…

Maine kyun pyar kiya tumne na kyun pyar kiya…
In pareshan sawalaat ki qeemat kia hai…

Tum jo ye bhi na batao to haq hai tumko
Mairi baat aur hai maine to mohabbat ki hai…

Tum agar aankh churao to ye haq hai tumko….
Mairi baat aur hai maine to mohabbat ki hai…

Tumko dunia ke gham-o-dard se fursat na sahi
Mairi baat aur hai maine to mohabbat ki hai…

Saturday 23 February 2013

Uski justaju, uska intizar aur akela'pan


Uski justaju, uska intizar aur akela'pan!

Thak kar muskura deta hun jab roya nahin jata.

Dil nadan kisi ko do pehlay


Dil nadan kisi ko do pehlay

shayri mufat nahin hoti.

Kash kay woh lot aye mujh say yeh kehnay


Kash kay woh lot aye mujh say yeh kehnay

Tum kon hotay ho mujh say bicharnay walay.

Teri wafa kay taqazay badal gaye warna


Teri wafa kay taqazay badal gaye warna

mujhe to aaj bhi tum say aziz koi nahin.

Tumhare bin nahi rehna mujhe TUMSE mohabbat hai

Tumhare bin nahi rehna mujhe TUMSE mohabbat hai.
Hai TUMSE bas yahi kehna mujhe TUMSE mohabbat hai.

Zaban to keh nahi sakti TUMHAIN ehsas to hoga....
Meri Aankhon ko parh lena mujhe TUMSE mohabbat hai.

TUMHARE naam kar di hai ye pori zindagi apni.
Bhalay hi dukh paray sehna mujhe TUMSE mohabbat hai.

Hamain ehsas hai TUMKO bhi humse pyar hai lekin........
Ye mere saamnay kehna mujhe TUMSE mohabbat

bahoun mein apni sama lou mujhey

bahoun mein apni sama lou mujhey

Bin tumharey aik pal bhi ab kat-ta nahin
Tum aa ker mujhi say chura lou mujhey

Zindagi tou woh hai sang tumharey jo guzrey
Dunya kay gamoun say ab chura lou mujhey

Meri sab say gehri khuwahish hou puri
Tum agar pass apnay bula lou mujhey

Yeh kaisa nasha hai jou behka raha hai
Tumhari hoon mein tou sambhalo mujhey

Najanay phir kaisay guzrey gi zindagani
Agar apnay dil say kabhi tum nikalo mujhey.

Kya tha zaraa si dair mein kya ho gaya koi

Kya tha zaraa si dair mein kya ho gaya koi
Do Din Judaa Raha To Naya Ho Gaya Koi

Wo Bhi Mujhay Aziz Tha Main Bhi Use Aziz
Phir Jaane Kya Hua Kay Khafa Ho Gaya Koi

Meri Nazar Nay Us Ko Khad-O Khaal Day Diye
Zehra Jamaal-E Sheh'r-e-Saba Ho Gaya Koi

Mehfil mn tha to chand ki sorat sabeh Tha
Tanha Mila To Rang-e-Hina Ho Gaya Koi

Is Khush'ada Guraiz Kay Qurbaan Jaaiye
Mujh Ko Salam Kar Kay Hawa Ho Gaya Koi

Katra K Manzilon Se Guzarty Chaly Gaye

Katra K Manzilon Se Guzarty Chaly Gaye,
Sehra Ki Wusaton Mein Utrty Chaly Gaye.

Sheesha Badan The Phir Bhi Kisi Ki Talash Mein,
Takra K Pathron Se Bikhrty Chaly Gaye.

Kanton Se Kr K Apny Badan Ko Lahoo Lahoo,
Phoolon K Sath Hum Bhi Nikhrty Chaly Gaye.

Parwana Khoo The Aisy K Shama K Naam Par,
Apni Tapish Mein Ap Hi Marty Chaly Gaye.

Ye Waaqia Hai Us Ki Mohabbat Mein Ham
Ujray Hain Is Tarh K Sanwrty Chaly Gaye...!!

Friday 22 February 2013

Majboori Me Jab Koi Juda Hota Hai,

Majboori Me Jab Koi Juda Hota Hai,
Zaroori Nahi Ke Wo Bewafa Hota Hai,
Dekar Tumhari Aankhon Me Aansu,
Chup Ke Se Wo Kahin Tumse Bhi Zyada Rota Hai..!!

Thursday 21 February 2013

Nahin hai hoslah mujh main tumhain khonay ka par sun lo


Nahin hai hoslah mujh main tumhain khonay ka par sun lo

Ye dunya mujh ko kho dy gi agr tum kho gaye mujhsay.

Kis tarah khatam kar saktay hain tum ko yaad karna


Kis tarah khatam kar saktay hain tum ko yaad karna

Kay tum ko sirf mehsus karny say hum dunya bhool jatay hain.

Dil ko teri chahat py bharosa bhi bht hai


Dil ko teri chahat py bharosa bhi bht hai,

aur tujhsy bichar jany ka dar bhi nahi jata.

Palko ko humne jab bhi jhukaya hai

Palko ko humne jab bhi jhukaya hai,
Bas ek hi khayal aaya hai,
Jis khuda ne tumhe banaya hai,
Tumhe dharti pe bhejke bhala wo kaise jee paaya hai…

Tere Wajood Ki Khushbo Basi Hai Saans'on Mein

Tere Wajood Ki Khushbo Basi Hai Saans'on Mein ,,,

Yeh Or Baat Hai''' Nazar'on Se Dor Rehtaye Ho ...♥

Dil kisi ajnabi pr aitabar karne lagta hai

Dil kisi ajnabi pr aitabar karne lagta hai,
Jane kuin... ??

Kisi ka hamari zindagi mei ana bahar lagta hai,
Jane kuin... ??

Us se milne k baad hr koi ajnabi sa lagta hai,
Jane kuin... ??

Chaudwi ka chand mei ankhay us ko dhondhne lagi hein,,
Jane kuin... ??

Us k bagair hr mausum kizah sa lagta hai,,
Jane kuin...??

Humari socho me usi ka khayal laga rehta hai,,
Jane kyun... ??

Us ki sanson me samane ko ji chata hai,,
Janay Kyun...??

Tujhe Fursat Hi Nahi Mili Kabhi Humko Padhne Ki

Tujhe Fursat Hi Nahi Mili Kabhi Humko Padhne Ki,
Aur Hum Bikte Rahe Kitabo Ki Tarah Tere Shahar Mein

yunhi panne palat kar hi dekh liya hota,
hum bikhre rahe surkh patton ki tarah tere shahar me

Purane ho chale ek din aur mile raddi ke dher mein,
panne bhikhar gaye zindagi ki kitab ke, phir tere shahr mein

Zindagi Humari Tere Liye, Ek Khuli Kitab Thi,
Kora Kaagaz hi reh gaye alfaaz, bus tere shahar mein

Akhiri Panne Pe Rakha, Sookha Gulab Tha,
Panne Nahi Palte Gaye Uss Kitab Ke,
Tu Phir Bhi Na Samajh Saki, Dastak Ko Meri,
Hum Aaye the Alvida Kehne Tere Hi Shahar Mein

Tujhe Fursat Hi Nahi Mili Kabhi Humko Padhne Ki,
Aur Hum Bikte Rahe Kitabo Ki Tarah Tere Shahar Mein

Kabhi daman kabhi palkain bhigona KIS ko kehtay hain

Kabhi daman kabhi palkain bhigona KIS ko kehtay hain

--Kisi mazloom se pocho k “RONA” kis ko kehtay hain

--Kabhi meri jaga khud ko rakho phir “JAAN” jao gay

--K dunya bher k dukh dil main “SIMONA” kis ko kahtay hain

--Meri aankhon meray chehray ko ik din “GHOR” say daikho

--Mager mat puchna “WEERAN” hona kis ko kahtay hain

--Tumhara dil kabhi piglay agar “GHUM” ki hararat se

--Tumhain malum ho jae ga k “KHONA” kis ko kehtay hain..

Sitara dekh ker toota, Usay hum yaad ayenge

Sitara dekh ker toota, Usay hum yaad ayenge.
kisi se sath jab chota, usay hum yaad ayenge.

Abhi to urh raha hai woh nai chahat ke par le ker,
Jo us ka Par kabhi toota, usay hum yaad ayenge.

usay jis per yaqeen hai aaj to imaan ki had tak,
wohi nikla jo kabi jhoota, usay hum yaad ayenge.

Muhabbat ke safar mein har koi mukhlis nahi milta,
kisi rahzan nay jab loota, usay hum yaad ayenge!

Main Hosh Main Tha To Phir Us Pe Marr Gaya Kaisey

Main Hosh Main Tha To Phir Us Pe Marr Gaya Kaisey
Ye Zehar Meray Lahoo Main Utaar Gaya Kaisey

Kuch Us K Dil Main Lagawat Zaroor Thi Warna
Wo Mera Hath Daba Ker Guzar Gaya Kaisey

Zaroor Us Ki Tawajo Ki Rehbari Ho Ge
Nashay Mein Tha To Main Apnay Hi Ghar Gaya Kaisey

Jisay Bhulaey Kai Saal Ho Gaey Sat Rangi
Main Aj Us Ki Galli Se Guzar Gaya Kaisey

Main Hosh Main Tha To Phir Us Pe Marr Gaya Kaisey
Ye Zehar Meray Lahoo Main Utaar Gaya Kaisey

Wednesday 20 February 2013

Socti hun torr don yeh chahat kee churiya'an

Socti hun torr don yeh chahat kee churiya'an

Jo ab bhe teri muhabbat mei khanakna nahi chorti

Yaaad Naa Dilaao Unka Waada

Yaaad Naa Dilaao Unka Waada..

. Sharminda Hoon Main Khud Bhi Aitbaar Kar Ke.

Poocha Kisi Ne Mol To Heraan Reh Gaya

Poocha Kisi Ne Mol To Heraan Reh Gaya

Apni Nigaah Mein Koi Kitna Ghareeb Tha

Mohabbat Bhi To Aik Tarah Ki Siyasat Hoti Hai

 Mohabbat Bhi To Aik Tarah Ki Siyasat Hoti Hai 

Jeet Gaye Tu Badshahi Haar Gaye To Qaid-e-Tanhai

Tujhe bholny ko ek pal chahiye

Tujhe bholny ko ek pal chahiye

Wo pal k jis ko mout kehte hain log.

Tuesday 19 February 2013

Be-wajah Nahi Rota Koy Ishq Mein Galib

Be-wajah Nahi Rota Koy Ishq Mein Galib ...

Jisay Khud Sey Barr K Chaho Wo Rolata Zaror Hai

Khuwab jhoote kisi ko dikhaya nahi karte

Khuwab jhoote kisi ko dikhaya nahi karte,
Mere dost! Yun kisi ko satya nahi karte,

Ek baar yun kisi ko keh ker apna,
Daman phir uss se churaya nahi karte,

Us ke intezaar se bhala kya ho ga haasil,
Aane ka keh kar bhi jo aaya nahi karte,

Rakhte hon jo dard bhara dil apne seene mein,
Doosron ka dil phir woh dukhaya nahi karte,

Do qadam saath chal kar jo judda ho jayen,
Aise logon ko toh humsafar banaya nahi karte,

Kiss tarha guzarti hogi zindagi unn ki,
Pehli mohabbat ko jo dil se bhulaya nahi karte...!!!

Gham-O-Dukh K Ye Ishare Tum Na Samjho Ge


Gham-O-Dukh K Ye Ishare Tum Na Samjho Ge,
Jo Din Hum Ne Tumhare Bin Guzare Tum Na Samjho Ge,

Tumhain Kese Bataein Tum Hamare Waste Kiya Ho,
Samandar Ki Kahani Mein Kinare Tum Na Samjho Ge,

Bus Itna Jan Lo Ek Shakhs Se Hum Ne Mohabbat Ki,
Hamare Tootne Ka Kheil Piyare Tum Na Samjho Ge,

Hazaron Mushkilon Se Kheil Kar Bhi Jeetne Wale,
Ye Aakhir Kis Jaga Per Aa K Haaray Tum Na Samjho Ge...

Jo kismat me na ho os se gila nhi krte

Jo kismat me na ho os se gila nhi krte..
Kuch log to mil kr b mila nhi krte..

Suna hai roz roz milne se muhabt km hote hai..
Ye soch kr hm b un se mila nhi krte..

Ay dil tu un se milne ke umeed kuyn krta hai..
Kuch log to umer bhar he milla nhi krte..

Waise to ata hai hr shajar pe bahar ka mosam..
Phr b hr shakh pe phool khilla nhi krte..

Jb wo milla tha to os se rooh ka nata jora tha..
Jb rooh sath chor jay to insan jeeya nhi krte..

KABHI TUM APNI MUHABBAT KA AITEBAAR TO DO

KABHI TUM APNI MUHABBAT KA AITEBAAR TO DO
MAIN CHAHON TUM KO TOOT K YE IKHTIAAR TO DO

GUZARTI HI NAHI MUJH SAY YE ZINDAGI TANHA
SAHARA PYAR KA DE KAR ISSAY GUZAAR TO DO

ME SOCHTI HOON TUMHARAY BAGHAIR KYA HOGA
DIL O DIMAAGH PER IK BOOJH HE UTAAR TO DO

MERAY KHAYAL KI RAAHOUN KO KEHKASHAAN KAR DO
K ROSHNI SAY MERI ZINDAGI SUNWAAR TO DO

UMEED WAFA,GHAM HIJRA KA MADAWA HE
MAIN INTEZAAR KAROUN MAGAR ZABT INTEZAAR TO DO

Ye Jo Nazro'n Se Tum Mere Dil Ko Nihal Kartay Ho

Ye Jo Nazro'n Se Tum Mere Dil Ko Nihal Kartay Ho..

Kartay To Zulam Ho Sahib, Magar Kamal Kartay Ho..

Main Jhoom Jaon To SHarabi Na Samjhna

Main Jhoom Jaon To SHarabi Na Samjhna,
Gir Jaon JO Sajde MAin To Namazi Na Samjhna,

Thora Sa Behak Gya Hun Muhabat main,
Jo AAge barhoon to Shikari Na SAmjhna,

Mujh SE Chein li hain Khushiyan Mere Apno ne,
Hath Jo Phelaon To BhikAri Na Samjhna,

Mujhe Aata Hai Ab Bhi Muhabat Ka Khel,
Buhat Kch Khoya Hai Mene anari Na Samjhna,

ek Nasihat Meri Yaad RAkhna Meri Jaan,
Muhabat Ko Kabhi tum Bimari Na Samjhna…....!!

Monday 18 February 2013

Ek Kasak Jo Lafzon Ki Agosh Main Sisak Rahi Thi

Ek Kasak Jo Lafzon Ki Agosh Main Sisak Rahi Thi
Ek Dua Jo Dor Arash Py Bhatak Rahi Thi

Wo Dua Jo Tooty Dil Sy Nikal Rahi Thi
Wo Dua Jo Do Labon Py Machal Rahi Thi

Ky Kash Ky Ik Sham Wo Lot Aye
Ya Kash Ky Wo Sham Hi Lot Aye

Is Dil Ny Bhut Toot Ky Usy Chaha Tha
Hum Ny Rab Sy Bs Usy Hi Manga Tha

Par Meri Dua To Kahin Arash Py Hi Kho Gaye
Or Phir Taqder Bhi Andher Orah Kar So Gaye

Or Phir Zabat Ka Daman Hum Sy Chot Gaya
Ek Toota Hua Dil Or Bhi Toot Gaya

Mosam badal gaye zamany badal gaye

Mosam badal gaye zamany badal gaye,
Lamhoon main dost barsoon purany badal gaye,

Din bhar rahy jo meri muhabbat ki shaoun main,
wo log dhoop dhalty hi thikany badal gaye,

kl jin k lafz lafz main chahat thi pyar tha,
lo aj un laboon k tarany badal gaye,

Ek shakhs kya gaya mera sheher chor kar,
jeenay k sary dhang purany badal gaye,

Ab wo wo na raha main main na raha,
sary hi zindagi k fasany badal
gaye

Muje jeenay ki umeed dobara day do

Muje jeenay ki umeed dobara day do.

Meri doobti kashti ko kinara day do.

Main dard k sahil pe tanha khara hoon,

Phir aa k apni baanhon ka sahara day do.

Tera daman to bhara hy sitaron se.

Mujhe sadqay mein aik sitara day do.

Mere aangan mein aaj andhera hai bohat.

Meri dehleez ko phir apna nazara day do.

Chand lamhay

tujhay dekhnay ki Hasrat hai bus.

Main nay kab kaha waqt apna sara day do.

Toot jay Na Bharam hont hilaon keisy

Toot jay Na Bharam hont hilaon keisy,
Haal jaisa Bi hai Per Logon ko Dekhaon keisy,

Phool hota to Tere Dar py saja Bhi rehta,
Zakham ley kar Teri Dehleez Py Aaon keisy,

Tu hi batla Meri Yaadon ko Bhulany waly,
Main Teri Yaad ko Es DiL sy Bhulaon keisy,

Khushk Aankhon mein Bhi Ashkon ki Mehak Ati hai,
Tera Ghum Ankh k Daman mein Chupaon keisy,

Wo rulata hai to Rulaye Mujhy jee Bhar k
Meri Ankhein hain Wo! Main Us ko rulaon
keisy

Tum Jo Hastey Ho To Pholon Ki ada Lagte Ho

Tum Jo Hastey Ho To Pholon Ki ada Lagte Ho
Kitnay Masoom Ho Tasveer-e-Wafa Lagte Ho

Baat Karte Ho To Saghar Se Khanak Jate Ho
Leher Ka Geet Ho Koyaal Ki Sadaa Lagte Ho

Kis Taraf Jao ge Zulfon K ye Badal Ley Kar ?
Aaj Machli Hui Saawan Ki Ghata Lagte Ho

Main Ne Mehsoos Kia Tum Se jo Baatein Kar k
Tum Zamane Main Zamane Se Judaa Lagte
Ho

Is shehr e sitamgar main wafa dhoond rahy hain

Is shehr e sitamgar main wafa dhoond rahy hain.

Nadaan hain hum bhi kay ye kya dhoond rahy hain.

Hum log muqadar kay sikandar to nahi hain.

Kiya soch ke phir aab-e-baqa dhoond rahy hain.

Khamosh fizaaon main ye bechain parindy,

Is habs ke mosam main hawa dhoond rahy hain.

Jo Dil se nikalty hei tere Qalb ko chhu lay,

Hum log wohi harf e Dua dhoond rahy hain.

Ek shakhs nay manga tha kabi hum ko Dua me,

Us shakhs ko ab tak Ba-Khuda dhoond rahy hain.

Usay Keh Do Woh Mera Hai,, Begaana Ho Nahin Sakta

Usay Keh Do Woh Mera Hai,, Begaana Ho Nahin Sakta
Bohat Nayaab Hai,, Uss Sa Zamaana Ho Nahin Sakta…

Tumhare Saath Jo Guzra Woh Mausam Yaad Aata Hai,,
Tumhare Baad Ka Mausam Suhaana Ho Nahin Sakta…

Chhupaanay Se Nahin Chhupta,, Dikhaanay Se Nahin Dikhta,,
Yeh Aatish e Ishq Hai,, Iss Mein Bahaana Ho Nahin Sakta…

Tu Dil Pe Naqsh Ho Jaaye,, Nigaahon Mein Samaa Jaaye,,
Ke Iss Dil Mein Kisi Ka Phir Se Aana Ho Nahin Sakta…

Bohat Hein Chaahnay Waalay Tere,, Hum ne Suna Hai Par,,
Koi Bhi Doosra Hum Sa Deewana Ho Nahin Sakta…

Dasht-e-Wafa Me Pyaas Ka Aalam Ajeeb Tha

Dasht-e-Wafa Me Pyaas Ka Aalam Ajeeb Tha
Dekha To Aik Dard Ka Dariya Qareeb Tha

Guzry Jidhar Jidhar Se Tamanna K Qaafly
Her Her Qadam Pe Aik Nishaan-e-Saleeb Tha

Kuch Aisi Meherbaan To Na Thi Hum Pe Zindagi
Kiun Her Koi Jahaan Me Hamara Raqeeb Tha

Apna Pata To Us Ne Dia Tha Mujhe “Kabeer”
Main Khud Hi Kho Gaya To Ye Mera Naseeb Tha....

Sunday 17 February 2013

Suna Ho Ga Kisi Se, Dard Ki Aik Had Bhi Hoti Hay

Suna Ho Ga Kisi Se, Dard Ki Aik Had Bhi Hoti Hay...!!!

Milu Hum Se,Keh Hum Is Had Ke Aksar Paar Jaaty Hein...!!!

Kuch Door Hamare Saath Chalo

Kuch Door Hamare Saath Chalo ,
Hm Dil Ki Kahani Keh Denge .. :)

Samjhe Na Jise Tum Aankh'0n Se ♥ ,
Wo Baat Zubani Keh Denge..

Phoolon Se Honth'0n Par Jab ,
Ek Shokh Tabasum Bikhrega ..

Dheere Se Tumhare Kaan'0n Mein ,
Ek Baat Purani Keh Denge ^_~

Izhaar-E-Wafa Tum Kya Jaan'0 ,
Iqraar-E-Wafa Tum Kya Jaan'0 ..

Hum Zikr Karenge Aur'0n Ka ,
Aur Apni Kahaani Keh Denge .. !! :) |♥|

Mis-Le Sheesha Hain Hamen Tham K Rakhna

Mis-Le Sheesha Hain Hamen Tham K Rakhna ..

Ham Tere Hath Se Choote To Bikhar Jaen Gay.

Is qadar akalie hogaye hain aaj kal

Is qadar akalie hogaye hain aaj kal

koi sataata bhi nahi or koi manaata bhi nahi

Ek junoon.e. bymani ek yakeen.e. Lahasil

ek junoon.e. bymani ek yakeen.e. Lahasil...

aur kya milla hmay teri chahaat kr ky...

Baaton baton mein bicharnay ka ishara ker k

Baaton baton mein bicharnay ka ishara ker k
Khud bhi roya woh bohut hum say kinara ker k!

Sochta rehta hon tanhai mein Anjam-e-Khuloos
Phir usi jurm-e-mohabbat ko dobarah ker k!

Jagmaga di hain teray shehar ki galiyan mein nay
Apnay her ashk ko palkon pay sitara ker kay!

Daikh laitay hain chalo hosla apnay dil ka
Aur kuch rooz teray sath guzara ker k!

Aik hi shehar mein rehna magar milna nahin
Daikhtay hain yeh aziat gawara ker k..!!

Duniya mai phir milen gen agr aankhen khulin tu

Duniya mai phir milen gen agr aankhen khulin tu,

Ye raat agr aakhri hai tu Alvida hamesha kay liye.!

Kisi kh ehd E muhabbat ki yaad baaqi hy

Kisi kh ehd E muhabbat ki yaad baaqi hy

Baray haseen saharoun say khel sakta hun

Aatish E aarzo ajab shai hy

Aatish E aarzo ajab shai hy
Is ki thandak mein jal kh dykh kabhee

Khush sehra bh rashk E gulshan hyn
Apnay ghr say nikl kh dykh kabhee

Aey giraftaar E rehbar O manzil
Be-irada bh chal kh dykh kbhee

Hy bahaaroun ki justajoo saghir
Khaarzaaroun mein chalk h dykh kabhee

Wo Aik Larki

Udaas Logon ki Bastion mein. Wo Titlion ko Talash Kerti..

Wo Aik Larki..

Wo Gol Chehra Wo Kali Aankhain.. Jo Kerti Rehti Hazaar Baatain.. Mizaj Saada Wo Dil Ki Achi..

Wo Aik larki..

Wo Mohabbaton K Nisaab Janay.. Wo Janti Hai Ehad Nibhanay.. Wo Achi Dost Wo Achi Saathi..

Wo Aik Larki..

Wo Jhootay Logon Ko Sacha Samjhay.. Wo Saari Duniya ko Acha Samjhay.. Wo Kitni Saada Wo Kitni Pagli..

”Wo Aik Larki’

Har tamana ka lahu kartay chalen

Har tamana ka lahu kartay chalen
Ehteraam E rung O boo kartay chalen

Be-khudii ki nazar kardyn zindage
Bait E jam O saboo kartay chalen

Jis zubaan mein be-kas’oun ki baat ho
Us zubaan mein guftagoo kartay chalen

Yh ghataoun say barastii mastiyaan
Gar ijaazat ho wuzu kartay chalen

Inqelaab deeda O dil kh liay
Ayenoun ko ruu baroo kartay chalen

Kho kh kuch paanaa bht dushwar hy
Ehteyaatan justajoo kartay chalen

Fikar E saghir ki adaaoun mein bayaan
Daastaan E aarzoo kartay chalen

Mujh main Aaib So hongy magar ek Khoobi bhi hai

Mujh main Aaib So hongy magar ek Khoobi bhi hai,,,

Hum kisi ka hath Thaam kr Rasty me Chora nahi karty

Nazar nazar beqaraar sii nafs nafs pursiraar sa hy

Nazar nazar beqaraar sii nafs nafs pursiraar sa hy
Mein janta hun kh tum na ao gay phr bh kuch intezar hy

Meray azeezoun meray rafeeqoun chalo koi daastaan chero
Ghum e zamana ki baat choro yh ghum to ab saazgaar sa hy

Kabhe to ao kabhe to betho kabhe to dykho kabhe to pooch
Tmhari basti mein hum faqeeroun ka haal kyn sogwaar sa hy

Hy zulf bardosh kon aya yh kis ki ahat say gul khilay hyn
Mehek rahe hy fiza E hastii tamaam alam bahar sa hy

Abhi kro Mery sath Koi Bat phir so jana

Abhi kro Mery sath Koi Bat phir so jana.
.
Jb Dhal jaye Ye Raat Phr So Jaana.
.
Muddat sy Piyasa hon Men tery Deedar Ka.
.
Jb Bujh jaye Miri Piyaas Phr So jana.
.
Abhi To Jaag Rahy Hin Chand Sitary.
.
Jb So Jaaye Ye Kainat Phir So Jana..!

‎ KAASH Koi Hota Jo Mere Aansoo'n Ka Bharm Rakhta

‎" KAASH " Koi Hota Jo Mere Aansoo'n Ka Bharm Rakhta,

Yahan To Hr Shakhs Ne Mujhko Rulane Ki Qasam Khai Hai....!!

Na khouf E khuda hai na khouf E khudai

Na khouf E khuda hai na khouf E khudai
Bashar dy raha hy basher ki dohaai

Najanay kahan kho gaye hy Murawat
Barii door tak to meray sath aye

Nigahoun kh andaaz to badlay gaye hyn
Wohe hy magar rasm E jalwa Numaaiii

Kisi kh mehektay hway gesou’n mein
Shagoofoun nay seekhii hy shoala Nawaai

Fizaaye muqadar badal dii hy saghir
Nazar jab kabhe zindage say milayee

Aaj Phir Tumse Milne Ko Dil Chahta Hai

Aaj Phir Tumse Milne Ko Dil Chahta Hai,

Pass Baith Kar Baate Karne Ko Dil Chahta Hai,

Itna Hasin Tha Unka Aansu Pochne Ka Andaaz,

Ki Aaj Phir Rone Ko Dil Chahta Hai..!!

HO gye aik khoObsoOrat galti muj se

hO gye aik khoObsoOrat galti muj se

Tum se mOhabbAt aur Sirf Tum se mOhAbbAt ♥ ♥

SAb sO gAye khushi khushi apna hal e dil suna kr

SAb sO gAye khushi khushi apna hal e dil suna kr

Mera kOi nahi jO poOchAy tum jAag qn rAhAy hO

Uss shakhs ke wajdaan ki takmeel

Uss shakhs ke wajdaan ki takmeel
hai mujh se______

Ek roz palat aaye ga woh shakhs
adhoora_______!!

Yun hi umeed dilaty hain zamany walay

Yun hi umeed dilaty hain zamany walay,

Kab Lout k aty hain chor k jaany walay.

Biknay Waley aur hain ja kar Khareed Lo

Biknay Waley aur hain ja kar Khareed Lo,,,,

hum log Qeemat sa nai Qismat Sa Mila kartay hain...

Baat Yeh Tere Siwa Aur Bahla Kis Se Karain

Baat Yeh Tere Siwa Aur Bahla Kis Se Karain
Tu Jafa Kaar Howa Hay To Wafa Kis Se Karain.....!!!

Aiina Samne Rakhain To Nazar Tu Aaye
Baat Jo Tujh Se Chupaani Ho Kaha Kis Se Karain.....!!!

Hath Uljhe Howay Resham Main Phansa Baithe Hain
Ab Bata Kaun Se Dhaage Ko Juda Kis Se Karain........!!!

Zulf Se Chashm Lab O Rukh Se K Tere Ghum Se
Baat Yeh Hay K Dil O Jaan Ko Rihaa Kis Se Karain.......!!!

Tu Nahi Hay To Phir Aye Husan E Saaz Bata
Is Bhare Shehar Main Hum Jaise Mila Kis Se Karain.......!!!

Tu Nay To Apni SI Karni Thi So Kar Li Khawar
Masla Yeh Hay K Hum Is Ka Gilla Kis Se Karain ........!!!!

Usay kehna bicharne se muhabat to nahi marti

Usay kehna bicharne se muhabat to nahi marti..

Bichar jana muhabat ki sadaqt ki alamat hai ..

Muhabat aik fitrat hai , Han fitrat kab badaltai hai ..

So, jab hum door ho jaein, Naye rishton mein kho
jaein..

Tu yeh mat soch lena tum, Keh muhabat mar gai ho
gi..

Nahi aise nahi hoga ..

Mere bare mein gar tumhari ankhein bhar ayein..

Chalak kar aik bhi ansu palak pe jo utar aye..

To bas itna samaj lena ,

Jo mere nam se itni tere DIL ko aqeedat hai..

Tere dil mein bichar kar bhi abhi meri muhabat hai..

Muhabat tu bichar kar bhi sada abad rehti hai ..

Muhabat ho kisi se tu hamesha yaad rehti hai ..

Muhabat waqt ke Be-Reham tufaan se nahi darti..

Usay kehna bicharne se Muhabat to nahi marti….!!!

Woh Pyar Ka Saboot Dikhaya Karta Tha

Woh Pyar Ka Saboot Dikhaya Karta Tha
ansoo Baha Kar Humein Manaya Karta Tha

yeh Zindagi Sirf Tum Se Hi Wabasta Hai
aksar Yeh Baat Humein Bataya Karta Tha

us Ki Batoon Mein Kuch Aisa Asar Tha
mein Barish Ke Bina Hi Bheeg Jaya Karta Tha

soney Ki Fursat Hi Kisay Thi
woh Humein Sari Raat Jagaya Karta Tha

bechaini Jab Had Say Barh Jati Thi
woh Ji Bhar Ke Galay Lagaya Karta Tha

woh Itni Mohabbat Karnay Wala Badal Gaya
jo Har Baat Par Meri Qasam Khaya Karta Tha....!!!

Har taraf aag hai daman ko bachaon kaise

Har taraf aag hai daman ko bachaon kaise ??
Dard apno ne diya hai toh bhulaon kaise ??

Honth khulte hain toh toheen-e-wafa hoti hai
Zakhm jo tumne diye hain woh dikhaun kaise ??

Duniya zalim hai tadapne bhi nahi deti
Apne hontho pay tere geet laun kaise ??

Mujhse ab tere gam ki hifazat nahi hoti
Apni bheegi hui aankho ko chupaun kaise ??

Log dushman hain zamane mein wafa kay "jana"
Mere dil pay jo guzarti hai sunaun kaise....!!

Tere Haath Ki Me Woh Lakeer Ban Jaoon

Tere Haath Ki Me Woh Lakeer Ban Jaoon.
Sirf Me Hi Tera Muqadar Teri Taqdeer Ban Jaoon.

Me Tujhe Itna Chahoon K Tu Bhool Jae Her Rishta.
Sirf Main Hi Tere Her Rishte Ki Tasweer Ban Jaoon.

Tu Ankhain Band Kare To Aaoon Main Hi Nazar.
Is Tarha Main Tere Her Khuwab Ki Taabeer Ban jaun...

main likhoun hr ik lafz sirf teri chahat ky naam...
main he tera lehja, teree hr tehreer ban jaoun...!!!

Saturday 16 February 2013

Jaane kya baat hai kyon tum se mohabbat hai mujhe

Jaane kya baat hai kyon tum se mohabbat hai mujhe,
Chaand suraj se sitaron se haseen lagte ho,
Zindgani ki bahaaron se haseen lagte ho,
Aesa kya hai ke hazaaron se haseen lagte ho,

Jaane kya baat hai kyon tum se mohabbat hai mujhe,
Dil ki har baat to hum tum se nahin keh saktey,
Tum juda hum se raho yeh bhi nahin seh saktey,
Chorr kar door tum ko kahin door nahin reh sakte,

Jaane kya baat hai kyon tum se mohabbat hai mujhe,
Mil gaye tum to mujhe pyaar ka ehsaas mila,
Khil gaye hont tumhare to mera dil bhi khila,
Tumhi ho meri barson ki duaaon ka silaa,

Jaane kya baat hai kyon tum se mohabbat hai mujhe,
Meri dharrkan ho meri saans ho awaaz ho tum,
Sab se jo mene chupaya hai woh ik raaz ho tum,
Sach to yeh hai ke meri jaan ho humraaz ho tum..

Meri mohabt ko apne dil me dhond lena

Meri mohabt ko apne dil me dhond lena
Or han! Aatay ko achi tarha goond lena!

Mil jae agr pyar to khona nai,
Pyaz kat'ty wqt rona nai!

Mujse ruth jane ka bahana acha hy,
Thori dair aur pakao gosht abi kacha hy!

Mil k phr khushiyo ko bantna he,
Tmatar zara bareek hi katna he!

Log hmari muhbat se jal na jaen,
Chawal time pe dekh lena kahin gal na jaen!

Kesi lagi ghazal bta dena,
Namak km lage to aur mila lena.

Kabi Khood Hi Mere Paas Aa

Kabi Khood Hi Mere Paas Aa
Meri Baat Sun Mera Saath De

Jo Khalish Hai Dil Se Nikal Ker
Mujhe Uljhano Se Nijaat De

Tujhe Sochna Mera Mashghala
Tujhe Dekhna Meri Aarzoo

Mujhe Dil De Apne Khayal Ka
Mujhe Karb Ki Ek Raat De

Meri Zindagi Mere Saath Chal
Mere Haath Mai Apna Haath De

Mujhe Ghum B Khushi Se Qabool Hai
Jo Tu Agar Mera Saath De ♥