Sunday 24 February 2013

Tum mujhe bhool jao to ye haq hai tumko

Tum mujhe bhool jao to ye haq hai tumko…
Mairi baat aur hai maine to mohabbat ki hai…

Maire dil ki maire jazbaat ki qeemat kia hai…
Uljhe uljhe se khayalat ki qeemat kia hai…

Maine kyun pyar kiya tumne na kyun pyar kiya…
In pareshan sawalaat ki qeemat kia hai…

Tum jo ye bhi na batao to haq hai tumko
Mairi baat aur hai maine to mohabbat ki hai…

Tum agar aankh churao to ye haq hai tumko….
Mairi baat aur hai maine to mohabbat ki hai…

Tumko dunia ke gham-o-dard se fursat na sahi
Mairi baat aur hai maine to mohabbat ki hai…

No comments:

Post a Comment