Sunday 17 February 2013

Baaton baton mein bicharnay ka ishara ker k

Baaton baton mein bicharnay ka ishara ker k
Khud bhi roya woh bohut hum say kinara ker k!

Sochta rehta hon tanhai mein Anjam-e-Khuloos
Phir usi jurm-e-mohabbat ko dobarah ker k!

Jagmaga di hain teray shehar ki galiyan mein nay
Apnay her ashk ko palkon pay sitara ker kay!

Daikh laitay hain chalo hosla apnay dil ka
Aur kuch rooz teray sath guzara ker k!

Aik hi shehar mein rehna magar milna nahin
Daikhtay hain yeh aziat gawara ker k..!!

No comments:

Post a Comment