Sunday 17 February 2013

Har taraf aag hai daman ko bachaon kaise

Har taraf aag hai daman ko bachaon kaise ??
Dard apno ne diya hai toh bhulaon kaise ??

Honth khulte hain toh toheen-e-wafa hoti hai
Zakhm jo tumne diye hain woh dikhaun kaise ??

Duniya zalim hai tadapne bhi nahi deti
Apne hontho pay tere geet laun kaise ??

Mujhse ab tere gam ki hifazat nahi hoti
Apni bheegi hui aankho ko chupaun kaise ??

Log dushman hain zamane mein wafa kay "jana"
Mere dil pay jo guzarti hai sunaun kaise....!!

No comments:

Post a Comment