Tuesday 26 February 2013

Kisi se pyar karta hoon hamesha haar jata hoon

Kisi se pyar karta hoon hamesha haar jata hoon
Main jitni baar karta hoon hamesha haar jata hoon

Kabhi sham se pehle kisi jana ki ankhon se
Ye ankhein 4 karta hoon hamesha haar jata hoon

Kabhi kisi mehfil mein wafa ki guftagoo par
Jab takrar karta hoon hamesha haar jata hoon

Nigahon mein to doosron se baazi jeet jata hoon
To jab izhaar karta hoon hamesha haar jata hoon

Ke shayad iss dafa koi mujhe apna bana le ga
Hamesha pyar karta hoon hamesha haar jata hoon ...!!


No comments:

Post a Comment