Thursday, 21 February 2013

Tujhe Fursat Hi Nahi Mili Kabhi Humko Padhne Ki

Tujhe Fursat Hi Nahi Mili Kabhi Humko Padhne Ki,
Aur Hum Bikte Rahe Kitabo Ki Tarah Tere Shahar Mein

yunhi panne palat kar hi dekh liya hota,
hum bikhre rahe surkh patton ki tarah tere shahar me

Purane ho chale ek din aur mile raddi ke dher mein,
panne bhikhar gaye zindagi ki kitab ke, phir tere shahr mein

Zindagi Humari Tere Liye, Ek Khuli Kitab Thi,
Kora Kaagaz hi reh gaye alfaaz, bus tere shahar mein

Akhiri Panne Pe Rakha, Sookha Gulab Tha,
Panne Nahi Palte Gaye Uss Kitab Ke,
Tu Phir Bhi Na Samajh Saki, Dastak Ko Meri,
Hum Aaye the Alvida Kehne Tere Hi Shahar Mein

Tujhe Fursat Hi Nahi Mili Kabhi Humko Padhne Ki,
Aur Hum Bikte Rahe Kitabo Ki Tarah Tere Shahar Mein

No comments:

Post a Comment