Thursday 28 February 2013

Aaj tanhai ne thorha sa dilasa jo dia

aaj tanhai ne thorha sa dilasa jo dia ,,
kitne roothe huwe saathi mujhe yaad aaye hain ,,

mosam e wasl ki kirno ka wo anboh rawan,,
jis k hamrah kisi zohra jabeen ki doli ,,
aise utri thi k jaise koi aayat utre,,

hijr ki shaam k bikhre huwe kaajal ki lakeer ,,
jis ne aankhon k gaabon pe shafaq chirhki hai ,,
jaise khushbu kisi jangal men bar'hana thehre,,

khalqat e shehar ki jaanib se mlamat ka azaab,,
jis ne aksar mujhe ,,,,, hone,,,, ka yaqeen bakhsha hai ,,

dast e aada men wo khinchti hui tohmat ki kamaan,,
baarish e sang men khulti hui teeron ki dukaan ,,
mehrubaan dost,,,, rafaqat ka bharam rakhte huwe ,,
ajnabi log dil o jaan men qadam rakhte huwe ,,

aaj tanhai ne thorha sa dilasa jo dia ,,
kitne roothe huwe saathi mujhe yaad aaye hain,,
ab na pindaar e wafa hai na muhabbat ki jaza ,,
dast e aada ki kashish hai na rafeeqon ki saza ,,
takhta e daar ,, na mansab ,, na adalat ki khalish,,
ab to ek cheekh c honton men dabi rehti hai ,,

raas aaye ga kise dasht e bala mere baad ,?
Kon maange ga ujarhne ki duaa mere baad ?

Aaj tanhai ne thorha sa dilasa jo dia ,,
kitne roothe huwe saathi mujhe yaad aaye hain,.


No comments:

Post a Comment