Wednesday 27 February 2013

Kabhi tum Apni mohabbat ka aitebar to do

Kabhi tum Apni mohabbat ka aitebar to do,

Main chahon toot k tum ko yeh ikhteyar to do,

Guzarti hi nahi mujh say yeh zindagi tanha..

Sahara pyar ka day kar usay guzaar to do,

Hum sochty hain tumharay bagair kya hoga..

Dil-o-Demag per ek bojh hai utaar to do,

Meray khaiyal ki rahon ko kehkashan kar do,

K roshni say mayri zindagi sanwaar to do,

Umeed- e-Wasal Gham-e-Hijar ka madawa hai..

Main intezar karon Zabt-e-intezar to do.

No comments:

Post a Comment