Monday 25 February 2013

Sar jukaoge to patthar devta ho jayega

Sar jukaoge to patthar devta ho jayega
Itna na chahho usse, woh bewafa ho jayega

Hum bhi darya hain, humein apna hunnar maloom hai
Jiss taraf bhi chal padenge, raasta ho jayega

Mein Khuda ka naam le kar pee raha hoon doston
Zehar bhi iss mein agar hoga, Dawa ho jayega

Rooth jana to mohabbat ki alaamat hai magar
Kya khabar thee mujhse woh itna khafa ho jayega....!!

No comments:

Post a Comment