Pyaas wo dil ki bujhaane kabhi aaya b nahi
Kaisa badal hai jiska koi saaya b nahi
Berukhi is se bari aur bhala kya hogi
Ek muddat se hamein us ne sataya b nahi
Roz ata hai dar-e-dil pe wo dastak dene
Aj tak hamne jise paas bulaya bi nahi
Sun liya kaise khuda jaane zamaane bhar ne
Wo fasaana jo kabhi hum ne sunaya b nahi
Tum to shaayar ho `Kabeer` or wo ik aam sa shakhs
Us ne chaaha b tumhain or jataya b nahi

No comments:
Post a Comment