Thursday 4 April 2013

Jub chaha jazbaat say khailay jub chaha dil tor dia

Jub chaha jazbaat say khailay jub chaha dil tor dia
Hum nay bhi aisay logon say milna julna chor dia...

Tum ko kuch ehsaas nahi hai hairat tu is baat ki hai
Tum nay tu baaton baaton may dil ka chaala phor dia...

Reh reh kar yeh soch raha hoon kaun hai aisa jadoogar
Jis ki ek aawaaz nay barhtay toofan ka rukh mor dia...

Kya karna tha kya kar bhaitay socha samjha kuch bhi nahi
Tum bhi tanha ho mujh ko bhi tum nay tanha chor dia.

No comments:

Post a Comment