Monday, 24 June 2013

Hina, Khusboo, Barish Ki Mehik Mein Ghum Rehti Hai

Hina, Khusboo, Barish Ki Mehik Mein Ghum Rehti Hai
Woh Aksar Apni Zaat Mein Ghum Rehti Hai

Zindagi Ne Diye Hain Jo Dard Usy Aksar
Laboo Pay Taala Woh Isi Liye Rakhti Hai

Dil Ky Gham Bhi Tanha Sehti Hai Woh
Phir Bhi Chehray Pay Muskan Rehti Hai

Liye Ankhon Mein Ek Umeed Ka Sapna Woh
Ranj o Aalim K Sub Karb Jheelti Hai

Nazuk Sa Dil, Masoom Jazbat Rakhti Hai
Hosla Phir Bhi Kamal Ka Rakhti Hai

Sunday, 23 June 2013

Safar Per Sath Chali Thi Jo Rehbaron Ki Tarah

Safar Per Sath Chali Thi Jo Rehbaron Ki Tarah
Juda Huwi Wo Bhi Aakhir Musafiron Ki Tarah

Main Sochta Hun Wo Kaise Bichar Gayi Mujhse ?
Jo Dhoop Me Milti Thi Mujhe Baadalon Ki Tarah

Ajeeb Larki Thi Hawaaon Se Dushmani Le Kar
Woh Rait Per Likhti Thi Mera Naam Paaglon Ki Tarah

Wo Chahaton Ki Mukammal Kitaab Thi Yaaro
Mujhe Fasana Sunati Thi Shaairon Ki Tarah

Hujoom mein tha voh khul kar na ro saka hoga

Hujoom mein tha voh khul kar na ro saka hoga
magar yaqeen hai k shab bhar na so saka hoga

voh shakhs jis ko samajhney mein mujhko umar lagi
bichar k muj se kisi ka na ho saka hoga

laraztey haath, shikasta si dor saanson ki
voh khushak phool kahan tak piro saka hoga ?

boht ujaarr they pataal uski ankhon k
voh ansuon se na daman bhigo saka hoga

merey liye voh qabeeley ko chor kar ata
muje yaqeen hai yeh uss sey na ho saka hoga

Mitt gaya hon to mujh ko mitta rahne do

Mitt gaya hon to mujh ko mitta rahne do,
Mere jazbat k sholon ko bujha rahne do..

Dard sahne ki ha bachpan he se Aadat mujh ko,
Mere raste huay zakhmon ko hara rahne do..

Ab to tabeer ki hasrat hi nhi ha mujh ko,
Meri Aankhon mei mera khuwab chupa rehne do..

Muskrahat pe mera haq hi nhi ha yaro,
Mere honto se tabasum ko khafa rahne do..

Dil jo toota ha to Aankhen na chalak jaen,
Aaj Aankhon ko in Ashkon se bhara rehne do.

Apna To Ye Sochker Waqt Guzer Zata Hai

Apna To Ye Sochker Waqt Guzer Zata Hai
Kyu Dur Jane Ke Liye Koi Karib Aata Hai.

Wo Jane Kaise Apne Dilse Mujhe Bhula Baitha
Mai Ger Bhulna Chahu To Bhula Bhi Yaad Aata Hai.

Tab Nikherti Hai Kahin Jindagi Ki Asli Surat
Ashq Jab Aapke Daman Pe Bikher Jata Hai.

Tadap Tadap Ke Tujhe Taumra Yaad Karta Rahun
Kuchh Aur De Na Jakhm To Bher Jata Hai.

Yun To Mai Khud Bhi Tujhper Tabajjoh Nahi Deta
Mera Jehen Hai Ke Her Bar Udher Jata Hai.

Beshaq Bahar Sooni Sooni Si Lagti Hai
Bul Bul Ke Chale Jane Se Kya Bagh Ujad Jata Hai.

Sunday, 9 June 2013

Mohhabat Ka ghum hota bohut Hai

Mohhabat Ka ghum hota bohut Hai,
K ab Ye Lafz Bhi Ruswa bohut Hai,

Udasi Ka Sabab Main Kiya Bataon?
Gali Kochon Mein sannata bohut Hai,

Na milne Ki qasam Kha K Bhi Main Ne,
Tujhe Har Raah Mein dhunda bohut Hai,

Ye Aankhein Aur Kiya Dekhein Kisi Ko,
Inn Aankhon Ne tujhe Dekha bohut Hai,

Na Jaane Kyun Bacha Rakhe Hein Aanso,
Shayid mujhe Rona bohut hai,

Tujhe maloom To hoga mere humdum,
Tujhe Aik Shakhs Ne Chaha bohut hai.!