Tuesday, 16 July 2013

Kachi Deewar Hoon Thokar Na Lagana Mujh ko

Kachi Deewar Hoon Thokar Na Lagana Mujh ko
Apni Nazron Mai Basa Ker Na Giraana Mujh ko

Tum ko Aankho Mai Tasawwoor Ki Tarah Rakhta Hoon
Dil Mai Dharkan ki Tarah Tum bhi Basana Mujh ko

Baat Karnae Mai jo Mushkil ho Tumhein Mehfil Mai
Mai Samajh Jaaonga Nazron Se Bataana Mujh ko

Waada Utna Hi Karo Jitna Nibha Sakte Ho
Khawab Pura jo na ho wo na Dikhana Mujh ko

Apne Rishtey ki Nazaakat ka Bharam Rakh Lena
Mai to Aashiq Hoon Deewana na Banana Mujh ko

Kachi Deewar Hoon Thokar Na Lagana Mujh ko
Apni Nazron Mai Basa Ker Na Giraana Mujh ko

Kyun piyaar us par hee aata hay

Kyun piyaar us par hee aata hay,
Jo mil kar bhi naa mil pata hay.

Kaisey yeh usse batayein hum,
Tujh bin reeh na paayein hum.

Kyun baar baar woh satata hay
Kuwaabon main aakar rulata hai?

Bhulanaa us ko chahein hum,
Par kis tarah bhulaayein hum?

Woh mann main har dum rahta hay,
Dharkan ki tarah dharkta hay.

Hain issi Ehsaas se zindaa hum,
ek-duje ke dil- o- jaan hain hum.

Ek dujey kay dil main rehtay hain
Kya piyaar issi ko kehtay hain?