Thursday, 23 October 2014

Sham Dhal Chuki Hai Raat Ho Rahi Hai

Sham Dhal Chuki Hai Raat Ho Rahi Hai
Mehfil-E-Dil Main Ajj Phir Teri Baat Ho Rahi Hai

Mere Khuwab-0-Khayal Pe Phir Tera Qabza Ho Gaya Hai
Zindagi Phir Se Meri Be-Jazbat Ho Rahi Hai

Rooh Mere Jism Ki Kahi Kheenchi Ja Rahi Hai
Mujhay Se Yon Parai Meri Zaat Ho Rahi Hai

Har Taraf Laga Dia Hai Teri Yaad Ne Pehra
Phir Bohat Mushkil Se Basar Raat Ho Rahi Hai

Kya Bataon Tujhe Apne Dil Ki Haalat Main
Ajeeb Si Kefiyat Mere Sath Ho Rahi Hai…!!

Meri mehboob, meri jaan, mujhe aansu bahaney de

Meri mehboob, meri jaan, mujhe aansu bahaney de,
Chuppey hain dukh dil mein, mujhe aansu bahaney de,

Ke tere baad chup si lag gayi alaam-e-hasti ko,
Sabhi manzar huye be’jaan, mujhe aansu bahaney de,

Meri aankhon ki baarish thamm gayi to jee na paaon ga,
Yehi hai dard ka darmaan, mujhe aansu bahaney de,

Meri palkon ne muddat se koi saawan nahin dekha,
Meri aankhain hain kuch veeran, mujhe aansu bahaney de,

Kissi ke sath hoti thi bahaarain zindgaani ki,
Ke aye dard-e-shab-e-hijraan, mujhe aansu bahaney de,

Ke ab woh khawab si surat bhi mujhse chinn gayi Kabeer,
Hua hoon mein tabhi bejaan, mujhe aansu bahaney de..

Hum Hi Thehrey Sazawar Aur Khata Kuch B Nahi

Hum Hi Thehrey Sazawar Aur Khata Kuch B Nahi
Tu Kya Samjhta Hai Tere Baad Hua Kuch B Nahi

Yaad Jab Ayii Terii Yaad Raha Kuch B Nahi
Dil Ne Bus Aah Bhari Aur Kaha Kuch B Nahi

Waqt Ki Tarah Saansein B Rawan Hain Ab Tak
Ek Ashk Bus Thamey Aur Ruka Kuch B Nahi

Hath Say Hath Chura Kar Gaya Jab Se Tu
Main Ne Tab Se In Haathoon Se Chua Kuch B Nahi

Kash Tu Mujh Se Keh De Achanak Aa Kar
K Tere Baad Mere Jeevan Main Bacha Kuch B Nahi

Baad Muddat K Mila Aaaj Wo Pehlay Ki Tarha
Aur Iss Baaar Usay Men Ne Kaha Kuch Bhi Nahi

Thursday, 16 October 2014

Teri hijraton ka malal tha, magr ab nhi

Teri hijraton ka malal tha, magr ab nhi..

Muje sirf tera khayal tha, magr ab nhi..

Teri be'misal Muhabaton k nisaab mein..

Tu zmanay bhar mein misal tha, magr ab nhi..

Jisay tu ne dard ata kya wohi aadmi..

Teri qurbaton mein nihal tha, magr ab nhi..

Mein teri talash mein raiza raiza bikhar gaya..

Wo junon-e-shoq-e-wisal tha, magr ab nhi..

Tere dar pe aakhri baar aa k palat gaya..

Meri zindagi ka sawal tha, magar ab nahi...

Tum jao Hum se door to Ek Kaam kar jana

Tum jao Hum se door to Ek Kaam kar jana”
“Kuch pal Apne Humare Naam kar jana”

“Agar Aajaye Mout Humain Tere Aanay se pehle”
“To Aa kar Mere Janaze ka Ehteram kar jana”

“Na Rona Isqadar k Takleef ho Humain”
“Mout ko b Mazak Samajh kar Anjaan ban jana”

“May Ek Din So jaon sada k liye”
“Phir Mujhe bewafa keh k Badnaam kar jana”

“Jo GuzrO Meri Qabar se to Nazrain na Phairna”

“Mehman he ban k Dua Salam kar jana.

Mujhe Azmane Wale Mujhe Azman ke Roye

Mujhe Azmane Wale Mujhe Azman ke Roye
Meri Dastane Hasrat Suna Suna ke Roye

Teri Bewafaiyon Par, Teri Kaj Adaiyon Par
Kabhi Sar chupa Ke Roye, Kabu Munh Chupa Ke Roye

Jo Sunai Anjuman Men Shab-e0 Gham Ki Aab-biti
Kabhi Ro ke Muskaraye, Kabhi Muskara Ke Roye

Main Hun Be-Watan Musafir, Mera Naam Bekasi Hai
Mera Koi Bhi Nahin Hai Jo Gale Laga Ke Roye

Mere Paas Se Guzar Kar Mera Haal Tak Na Poocha
Main Yeh Kaise Maan Jaun Ke Woh Dur Ja KE Roye..!!!

Ho Sakey To Karo Khud Mein Kashish Paida

Ho Sakey To Karo Khud Mein Kashish Paida,
Har Kisi Ko Hasrat Se Dekha Nahi Karte.

Har Shakhs Nahi Hota Har Shakhs K Kabil,
Har Kisi Ko Apne Liye Parkha Nahi Karte.

Mujh Ko Paana Hai To Mujh Mein Utar Kar Dekh,
Yun Kinaron Se Samundar Ko Dekha Nahi Karte.

Magror Dunya Kehti Hai To Kehne Do,
Hum Har Kisi Ko Mur Kar Dekha Nahi Karte..