Sunday, 31 March 2013

Muhabbat har k jena buht Mushkal hota hai

Muhabbat har k jena buht Mushkal hota hai,,,,,

Usy bas itna bata dena Bharm tora nhe karty...

Na Janay koun sa maqam hasil hai us bewafa ko

Na Janay koun sa maqam hasil hai us bewafa ko,

Usay bhulany ki her tarkeeb mujy khud sy juda krti hai.

Yaadon Mein Basaa Rakha Hai Tujhay Iss Qadar

Yaadon Mein Basaa Rakha Hai Tujhay Iss Qadar

Koi Waqt Bhi Pochay,Tera Naam Bata Detay Hein..♥

Saath Rehte Hain Mere Sab,Magar Matlab Ki Had’don Tak

Saath Rehte Hain Mere Sab,Magar Matlab Ki Had’don Tak...

Kahin Thakta Hun To Akela,Kahin Rukta Hun To Tanha...

Saturday, 30 March 2013

Tujh se milne ki sazaa dain ge tere shahar ke log

Tujh se milne ki sazaa dain ge tere shahar ke log
Ye wafaaon ka sila dain ge tere shahar ke log

Kya Khabar thi tere milne pe qayamat hogi
Mujh ko divaanaa bana dain ge tere shahar ke log

Terii nazron se giraane ke liye jaan-e-hayaa
Mujh ko mujrim bhi bana dain ge tere shahar ke log

Kah ke divaanaa mujhe maar rahe hain patthar
Aur kya is ke siva dain ge tere shahar ke log
 

Friday, 29 March 2013

Har aik cheharay ko zaKhmon ka aaiinaa na kaho

Har aik cheharay ko zaKhmon ka aaiinaa na kaho
Ye zindagi to hai rehmat ise sazaa na kaho

Na janay kaun si majburiyon ka qaidi ho
Wo saath chhor gaya hai to bewafa na kaho

Tamaam sheher ne nezon pe kyon uchhaalaa mujhe
Ye ittefaaq tha tum is ko haadsaa na kaho

Ye aur baat ke dushman hua hai aaj magar
Wo mera dost tha kal tak use bura na kaho

Hamare aib hamain ungaliyon pe ginwao
Hamari peeth ke peechhe hamain bura na kaho
 
 

Bikhar rahi hai meri zaat ussay kehna

Bikhar rahi hai meri zaat ussay kehna

Kabhi millay to yehi baat ussay kehna

Woh saath tha to zamana tha hamsafar mera

Magar ab koi nahi mere saath ussay kehna

Ussay kehna ke bin us ke din nahi kat `ta

Sisak sisak ke kat `ti hai raat ussay kehna

Usay pukaaron ke khud he pohnch jaon us ke paas

Nahi rahay ab woh halaat ussay kehna

Agar woh phir bhi na lotay to mehrbaan Kabeer

Hamari zeest ke halaat ussay kehna

Har jeet us ke naam kar raha hoon main

Main maanta hoon apni haar ussay kehna
 

Mai mohabat hon mujhay pyar ker k deikh

Mai mohabat hon mujhay pyar ker k deikh..
Mai muhabat na don tu kehna..

Mai ketab hon mujhay perh ker deikh
Mai samjh na aoon tu kehna

Mai muskurahat hon mujhay hans k ker deikh..
Mai na sajon teray honthon per tu kehna...

Mai khoshbo hon mujhay mehsos ker k deikh..
Na mehkon teri zindage may tu kehna ..

Mai zindge hon mujhay apna ker k deikh...
Na bano teri tu khena....

mai chahat hon mujhay senay se laga ker deikh..
Na lagon senay se tu kehna...
 

khusbo `on ki tarha meri har saans main

khusbo `on ki tarha meri har saans main
piyar apna basanay ka wada karo
ranng jitnay tumhari mohabbat kay hain
meray dil main sajanay ka wada karo

hai tumhari wafaon pay mujko yakeen
phir bhi dil chahta hai meray dil nasheen
yoonhi meri tasali ki khatir zara
mujko apna bananay ka wada karo

jab mohabbat ka iqrar kartay ho tum
dhadkanoon main naya rang bhartay ho tum
baarha kar chukay ho, magar aj phir
mujhko apna bananay ka wada karo

sirf lafzoon say iqrar hota nahi
ik janib say hi piyar hota nahi
main tumhain yaad rakhnay ki khaon qasam
tum mujko na bhulanay ka wada karo
 

Thursday, 28 March 2013

Alaan-e-Muhabat koy mushlil tu nahi

Alaan-e-Muhabat koy mushlil tu nahi.

Par muj ko dar hai k tu ho jaye gi ruswa.

Meri Dastan-e-Hasrat wo suna suna ke roye

Meri Dastan-e-Hasrat wo suna suna ke roye......

Mere Azmane Wale mujhe Azma ke roye.....

Anjuman main jo sunaye Shab-e-Gham ki Aab beti.....

Koi Ro ke muskuraye koi muskura ke roye......

Koi essa hel-e-dil ho ke ke Fasana-e-Muhabat......

Main osko suna ke rohon Woh mujhe suna ke roye......

Teri kach aadayon per teri bewafayon per.....

Kabhi Muh chupa ke roye kabhi sar jukka ke roye.....

Mere Pass se wo guzra mera Haal taak na pocha......

Main kaise Maan Jao ke woh dur jaa ke roye......

Kahain Kabeer raste wo mille to un se kehna......

Main udhaas hon akehle mere pass aake roye........
 

Aaj ae dil lab-o-rukhsaar ki batain he sahi

Aaj ae dil lab-o-rukhsaar ki batain he sahi

Waqt katt jaye ga kuch pyar ki batain he sahi

Yun to kat `ti he rahay gi gham-e-dauraan main hayat

Aaj ki raat gham-e-yaar ki batain he sahi

Zinda rehnay ki kabhi to koi soorat niklay

Ishrat-e-aalam-e-deedaar ki batain he sahi

Ye bhi kia kam hai unhain qurbat-e-gul to hai naseeb

Aaj gul ki na sahi pyar ki batain he sahi

Ab to tanhaai ko ye karb na ho ga bardaasht

Kuch nahi to dar-o-deewaar ki batain he sahi

Wednesday, 27 March 2013

Meri hansee pe mat jaana aye dost

Meri hansee pe mat jaana aye dost..
humne gham chupane ke andaaz mehaz badal diye hein..

Meri aahon ko tu saans mat samajh..
humne jiye jaane ke andaaz mehaz badal diye hein..

Meri palkon ki hulchal ko aise mat dekh..
humne ashq pochney ke andaaz mehaz badal diye hein..

Meri dhadkanon ko tu suna na kar..
humne tera naam lene ke andaaz mehaz badal diye hein..

Meri nabz thamkar tu kya ginta hai..
humne teri chuan paane ke andaaz mehaz badal diye hein..

Mera chehra dhak kar tu ab chala ja..
humne neend lene ke andaaz mehaz badal diye hein.

Aa bhi ja zara jannay wallay

Aa bhi ja zara jannay wallay
Meri Rag rag may samanay Wallay

Aaj bhi Tum ko Du’a dayta hoon
Phool, path jarh may khilanay wally

Daag zakmoon kay mitanay wallay
Phir zara Aa kay meri baat sunno

Baatay Ramzoo ki batanay wallay
Door tum mujh say buhat door rehtay ho

Kiya kahay gaye ye zamanay wallay
Toot jaye na kaheen Aaas ka Band

Apni Palkoo pay bitanay wallay
Loout kar aatay nahi hain Kabeer
Loog kahtay hain kay Jannay Wallay

Ajab apana hal hota jo visal-e-yar hota

Ajab apana hal hota jo visal-e-yar hota
Kabhi jan sadaqe hoti kabhi dil nisar hota

Na maza hai dushmani men na hai lutf dosti men
Koi gair gair hota koi yar yar hota

Ye maza tha dillagi ka ke barabar ag lagati
Na tumhen qarar hota na hamen qarar hota

Tere wade par sitamagar abhi aur sabr karate
Agar apani zindagi ka hamen aitabar hota