Thursday 28 March 2013

Aaj ae dil lab-o-rukhsaar ki batain he sahi

Aaj ae dil lab-o-rukhsaar ki batain he sahi

Waqt katt jaye ga kuch pyar ki batain he sahi

Yun to kat `ti he rahay gi gham-e-dauraan main hayat

Aaj ki raat gham-e-yaar ki batain he sahi

Zinda rehnay ki kabhi to koi soorat niklay

Ishrat-e-aalam-e-deedaar ki batain he sahi

Ye bhi kia kam hai unhain qurbat-e-gul to hai naseeb

Aaj gul ki na sahi pyar ki batain he sahi

Ab to tanhaai ko ye karb na ho ga bardaasht

Kuch nahi to dar-o-deewaar ki batain he sahi

No comments:

Post a Comment