Monday 25 March 2013

Zara si dair ko manzar suhaaney lagte hain

Zara si dair ko manzar suhaaney lagte hain,
Phir us ke baad yehi qaid’khaney lagte hain,

Main sochta hoon ke tu dar’badar na ho warna,
Tujhe bhulaney mein koi zamaney lagte hain,

Kabhi jo hadh se barrhe teri yaad ka habbas,
Khulli fizaa main tujhe gungunaney lagte hain,

Jo tu nahin hai tujh se kiye huye vaadey,
Hum apne aap se aksar nibhaney lagte hain,

Ajeeb khail hai jalte hain apni aag main hum,
Phir apni raakh bhi khud hi urraney lagte hain,

Yeh aney waley zamaney mere sahi lekin,
Guzishta umar ke saaye daraaney lagte hain..

No comments:

Post a Comment