Saturday 16 March 2013

Main lafzon mai kuch bhi izhar nahi karta

Main lafzon mai kuch bhi izhar nahi karta!
iska matlab ye nahi k main tujhe pyar nahi karta!

chahata hoon main tujhe aaj bhi par!
teri soch main apna waqt bekar nahi karta!

tamasha naa ban jaaye kahi mohabbat meri!
isi liye apne dard ko namoodaar nahi karta!

jo kuch mila hai usi mei khush hoon main!
tere liye khuda se taqraar nahi karta!

par kuch to baat hai teri fitrat mein zalim!
warna Mein tujhe chahne ki khata bar bar nahi karta!

No comments:

Post a Comment