Jo gha rsay door hotey hai, majboor hotey hai bohat
Kabhi bagon may sotey hain, kabhi chup chup k rotey hain
Gharon ko yaad karte hain, toh phir faryad karte hain,
Mager jo be-sahara ho Gharon say bekinara ho
Enhe ghar koun deta hai? Ye khatra koun leta hai,
Badi mushkil say eik kamra, jaha koi na rahta ho
Nagar say paar milta hai, bohat bekar milta hai
Toh phir do teen hum jaisey mila letey hai sab paisey
Aur apas may ye kahte hai, k mil jul kar he rahte hai
Koi khana banayega, koi jhadoo lagayega
Koi dho lega sab kapde, toh rahlenge sakoon say
Magar garmi bhari ratein, tapash Alwad saugatein,
Aur upar say ajab karma, Ghootan aur habas ka pahra
Thakan say choor hotay hai, sukhon say door hotey hai
Bohat jee chahta hai tab, k MAA ko bhej dey Ya Rab
Jo aapni Godh may le le, Humey Thandi Hawa de de
Sula de neendh aisi, k tute phir na eik pal bhi,
Magar kuch bhi nahi hota, to kar lete hai samjhouta
Koi Dil may bilakta hai , Koi Pahron sulagta hai
Jab aapna kaam kar k hum, paltey hai to ankhein namm
Makaan viraan milta hai, bohat bejaan milta hai
Khushi mahdood rahti hai, Fizaa magmoom rahti hai
Bohat ranjor kiun na ho, badi majboor kiun na ho
Awael may mahine k, saab aapne khoon pasine k
Jo paise jodh lete hai, gharon ko bhej detain hai
Aur aapne khat may likhte hai, hum aapna khayal rakhte hai
Badi khush bakht ghadiya hai, yahan khushiya he khushiyan hain…..!!!