Sunday 3 March 2013

Nahi maanega meri ko baat mein ise samjhaun kya

nahi maanega meri koi baat mein ise samjhaun kya ♥
bada hi dheet hai na aayega ye baaz mein ise samjhaun kya ♥

karta hai tamanna la hasil ko paane ki ♥
royega har din har raat mein ise samjuhaun kya ♥

kehta hai mohabbat sirf tumse karta hai ♥
tum ho iski qaainaat mein ise samjhaun kya ♥

maana k ise tumse faqat tumse muhabbat hai ♥
bhoola hai apni auqaat mein ise samjhaun kya ♥

tumharey husn k nazd ishq iska ek tinkey ke maanind hai ♥
tumhi samjhao tumhi karo kuch baat mein ise samjhaun kya♥

No comments:

Post a Comment